Risk Management
Forex trading market me sare traders trading ko seekhne ya apne experience ko increase karne par ziada tar tawajah dete hen, wahan par traders aik aham aur zarori juzz yani risk management ko nazar andaz kar dete hen. Forex trading me taqreeban ziada tar traders ya khas kar new traders hamesha market me apni tawajah technical analysis pe deti hai, ya wo aise technical tools ya technical indicators ki talash me hote hen, jis se wo apni har aik trade ko lazmi kamyab banaye, halankeh haqeeqatan aisa mumkin nahi hota hai, aur traders ziada munafay k chakat me apne pas maojood sarmaye ko bhi zaya kar jate hen.
Jab traders aise risk lena shoro kar dete hen, jo us k account me maojood sarmaye k mutabiq na ho, loss ki sorat me koi khas mansoba bandi ya technique nahi ki ho, traders kabhi loss ki haqeeqat ko qabool hi nahi karta ho, ya trading me bare risk k nuqsan se na ashna ho, to forex trading market me kamyabi ka zatya kabhi nahi bante.
Forex trading market me tamam traders kamyab nahi ho sakte, bohut sare loss me bhi hote hen. Hamesha aik trader ko market me entry katne se pehle kamyabi aur nakami dono ko apne zehen me rakhna zarori hai. Agar traders ko kamyabi aur nakami dono qabool nahi hai to wo kabhi bhi kamyab nahi ho sakte hen. Aik kamyab trader k leye loss ko har sorat qabool hona chaheye, bulke kaye maqon par to musalsal loss bhi ho sakti hai, jab trading market hamare khilaf ho.
Forex trading ko kamyab banane k leye is ko teen hison me taqseem kia ja sakta hai, sarmaye ka tahafuz aur taraqi, stop loss ki tarteeb aur muanafay k ahdaaf.
Sarmaye ka Tahafuz aur Taraqi
Forex trading market me traders apne samaye ko us waqat mehfoz bana sakta hai, jab bhi wo ziada munafay ya chand hafton me ameer banne ki koshash nahi karega. Aksar awqat trader kisi media channels, gher mayari signal providers, kuch tijarati taleemi compneya k lalach me a jate hen, q k wo kehte hen k hum thore se sarmaye ko bohut jald lakhon me tabdeel karwa sakte hen, jo k asal haqeeqat se yaksar mukhtalif hote hen. Traders jab haqeeqat ki bajaye lalach me parh jate hen to apne account ko proper money management ya risk k mutabiq istemal nahi katrte, to us ko aksar loss ka samna ho sakta hai. Trading ki behtareen hikmate amli k leye zarori hai k traders apne samaye ko (khas kar chote (small) account holder) ko ahista ahista taraqi de, yani mamoli margin se apne account me izafa karen. Jab bhi traders gher haqeeqi dawon me nahi paregy, aur proper market k hisab se chalengay to us waqat traders is riski business me kamyab ho sakte hen.
Hamari awaleen tarjeeh hamare tijarati sarmaye ka tahafuz hai. Trading k leye sarmaye k bagher, hum kisi bhi trading sargarmi me hisa nahi le sakte hen. Agar aik trader apne account ka istemal behtareen hikmate amli se karta hai aur trading position ko account k mutabiq rakhta hai to loss hone se bhi us ka account itna ziada mutasir nahi hota hai k jitna aik dosra trader bagher risk management k trading me loss uthata hai.
Losses
Traders ko ye wazih katna chaheye k wo aik trade par kitna loss bardasht kar sakta hai. Traders aksar awqat apne trading entry point aur exit position ya waqat par bohut ziada waqat lagate hen aur aksar to trader exit point ko nazar tak kar dete hen. Aik kamyab trader k leye zarori hai k wo apne trading profit k sath sath loss k bhi exit position pe ghawar kare.
Ziada tar traders ko loss ko kam karne ka kaha jata hai, hum apne trading loss ko us sorat me kam kar sakte hen jab hum ye tasleem karengay k mojoda market k halat hamare trading k mutabiq nahi hen aur hamara trade hasare me hen, to humen trade ko close ya us ka kuch hisa khatam karna chaheye. Ye sab loss ko qabol karne , trader ko ghalat sabit karne aur apne agley trade ki taraf bathne k ishare hote hen. Is ummeed par trade latkhane ka koi faida nahi hai, k trades hamare haq me wapis a jayrngay, yahan pe khone wala sarmaya hum kisi aur trade par faide k leye istemal kar sakte hen. Ziada waqat loss me rehni wale trades humen zehni torcher bhi karti hai, q k hum baar baar us ko loss me dekhte howe pechtate hen, aur agar loss mazeed barh raha ho to ye humari aur bhi energy zaya karti hai. Stop liss hamesha humen is tarah ki tension se door rakhta hai, humen har trade k sath stop loss ka istemal yaqeeni banana chaheye.
Nuqsan ki sorat me ; aghaz me jis position pe hamari trades khatam ho jayi hai, ye stop loss ki position hoti hai. Ye wo position hoti hai jahan pe hum kisi bhi trade ka loss bardasht kar sakte hen. Is leye is position pe trades ya to close ki jati hai aur ya kuch kam ki jati hai.
Stop loss ki miqdar bare account me ziada aur chote account me kam hogi. Risk-reward ratio k mutabiq stop loss set kia jata hai, jo humen boht ziada behtar parta hai. Stop loss hit hone oe humen dil chota nahi karna chaheye aur nahi is ko har waqat dil pe lena chaheye. Loss ka dukh hota zaror hai lekin huamare pass aur bhi trading karne ka moqa hota hai. Is waja se hum is loss ko cover kar sakte hen.
Leverages aur Position Size ka Istemal
Leverage hamare apne sarmaye k aik chote se hese ko istemal karne aur financial market me hamare trading capacity ko barhane k keye broker ya dealer se musar tareeqay se qaraz lene ka amal hai.
Hum aksar awqat internet par dekhte hen k brokers apne plateform ki tashheer k leye advertise dete hen k $500 se account shoro karen aur 400 persent tak leverage hasil karen. Agar che ye such hai k kuch brokers ne chote level k traders se shorat ki hen, aur unhen bare tijarati accounts me tabdeel kar deya hai. Lekin rato-raat karor-patti banne ka khwab us waqat aik daraone khwab me badal jata hai, k jab leverage ka ziada istemal aur ghalat istemal trading account ko mukamal khatam ya wash kar deta hai.
Leverage ka sahi istemal hamare account k safety ko bathati hai. Ye bhi haqeeqat hai k hum jitna bare leverage ka account banayengay to us se humen munafa hasil karne k chances bhi ziada hote hen, lekin haqeeqat me aisa mumkin nahi hai. Q k hamare open trades kabhi bhi har waqat munafa me nahi reh sakte, is waja se bare leverage k istemal k waqat loss bhi bara hota hai. Agar aik trader apne account leverage ka sahi istemal karte howe sirf 2 percent hi risk leta hai to wo hamesha bare loss se mehfoz rahega. Lekin agara is k bar-akas wo 10 ka risk leta hai ,to us sorat me loss bhi pehle wale risk se 500% ziada hoga. Yani agar aik trader 2% leverage k istemal pe agar loss ki sorat me $2 ka loss uthata hai, to 10% leverage ka risk uthane wale ko $10 ka loss hoga.
Forex trading market me aik trader ko jitna ho sake seekhne ki koshash karni chaheye, lekin us k sath sath, apne account me jitna ho sake sarmaya kari kare, aik behtareen aur sahi leverage k sath trading kare aur risk management k sakht qawaneen, jis k apnane se traders kamyab hote hen, par lazmi amal katna chaheye.
Munasib account ki capatilization k sath leverage ki munasib sharhon ka istemal nuqsanat ko kam se kam rakhne ko yaqeeni banayega, aur trader ko samaye ki tahafuz ki pehli tarjeeh par amal karne k qabil banayega.
Stop loss k istemal k sath achay trading position k size ki techniques ka imtezaj trader ko apni business aur sarmaye ka intezam karne ki ijazat dega, takeh trader ziada loss se mehfoz reh sake aur is k sath sath forex trading market me apni trading ka amal bhi jari rakh saken.