Symmetric Triangle
Introduction:
Financial market me symmetric triangle us waqat banta hai, jab qeematen gher faisala-kun mor (mode) me hon. Kisi bhi chart me symmetric triangle ko us waqat asani se pehchana ja sakta hai, jab qeematen musalsal uper aur nechay slope ki shape me mutabadel "high lows" aur " low high" banate hen. Symmetric triangle us waqat bante hen, jab market me talab aur rasad (supply and demand) barabar hon, jis k natijay me market gher faisala-kun sorat ikhtiar kar jata hai. Ziada tar triangles k natijay me pehle trend k semat me breakout ya breakdown ho jata hai.
Trade:
Triangle k trend line breakout hone k baad hi trading shoro ki jati hai. Jab "symmetric triangle" ki breakout/breakdown ko price action confirm karti hai, yani breakout/breakdown k uper/nechay aik do candle high/low ban jaye, to us k baad trades ki entry karen.
Take Profit:
Symmetric triangle k baad hone wala breakout bohut zyada strong hota hai, aur ziada tar ye triangle ki semat me hi hota hai. Partial trade ka target 50% ki position pe rakhna hi ziada samajhdari hai. Profit ko mehfoz rakhne k leye trail stop ka istemal faida mand hoga.
Stop loss:
False breakout hone ki sorat me symmetric triangle ka natija nakam ho jata hai. Long term me "stop loss" trend line k nechay bare "swing low" k below hoga. Jab k short term me trend line k pehle bare swing k uper stop loss set karen.
Symmetric Triangle ki Aqsaam
Symmetric triangle chonkeh breakout aur breakdown dono tarah ka ho sakta hai, is waja se jab qeematen trend line ko uper se breakout karti hai yo us ko "Ascending Triangle" kehte hen, aur jab qeematen trend ko nechay se breakdown karti hai to us ko "Descending Triangle" kaha jata hai. Jin ki tafseel darja-zel hai:
Ascending Triangle
Ascending triangle us waqat bante hen, jab qeematen bullish trend me chalti howe "higher high" aur "lower low" banati hai. Ascending triangle do trend lines se jora howa hota hai: uper ki taraf se aik horizontal line aur dosri aik uper ki taraf jati howi slope line, jo lower lows ko jorti hai. Ascending Triangle kisi bhi market me bante hen aur ye kafi reliable hote hen. Pattern mukamal hone se pehle triangle ki qeematen trend k har aik line ko kam az kam do baar kat'ti (intersect) hai. Aam tawar par top trend line se bahir 3rd ya 4rth koshash me breakout ho jata hai. Breakouts triangle k uper hisey (part) k qareeb hote hen. Is pattern ki kamyabi bohut zyada hai, q k ye taqreeban 75% apne hadaf ko pora karta hai.
Trade:
Trend line k top k clear breakout hone pe hi trade open karen. Breakout hone k baad aik candle chor kar trade lagayen. Trend confirmation k leye price action, volume ya dosre indicators ki help li ja sakti hai.
Take Profit:
Ascending Triangle apne ahdaf k hosol me ziada tar kamyab hi rehta hai. Aam target triangle ka faisela hoga. Top trend line aur uper jata howa slope line k darmeyan faisela (distance) ko measure karen. Is faisele ko trend line k uper hise se breakout point tak k faisele me shamil karen. Partial trade k leye is faisele (distance) ka 50% hisa muntakhib karen.
Stop Loss:
Stop loss k leye trend line k lower line k nechay ya bare swing low ki position pe set karen.
Descending Triangle
"Descending Triangle" k rules aur regulations "Ascending Triangle" k hi jaise hen lekin bas ye bearish hota hai. Descending triangles bearish market me bante hen aur trend ko breakdown karwate hen. Aik descending triangle do trend lines se jori hoti hai, jis me aik trend line nechay ki taraf slope banati hai aur dosri aik flate trend line jo lowers ko touch karti hai, ko apas me jorti hai. Trades aksar triangle k choti k qareeb hote hai, q k qeematen nechay k trend line k bahir close hoti hai aur aik mumkina breakdown tajweez karti hai. Pattern k banne se pehle qeematon ka kam az kam do baar trend line ko katna chaheye. Ascending triangle ki tarah descending triangle me bhi kamyabi k chances bohut zyada hen.
Trade:
Breakdown hone k baad triangle k outside pe aik candle chor kar sell ki entry karen. Price action, volum ya kisi dosre reliable indicator se trend lazmi confirm karen.
Take Profit:
Descending triangle k bhi ascending triangle ki tarah ahdaf (take profit) hen. Triangle k lowest aur highest point k darmeyan pemayesh karen, aur breakdown point se 50% aur 100% ki range pe apne ahdaf (take profit) set karen. Takefrrofit ka haddaf muntakhib karnnna targett k haossol main asani peda kartti hai.
Stop Loss:
Stop loss ko nechay ki taraf ate howe slope k bahir set karen. Agar qeematen top trend line k uper band hoti hen to trade ko close karen aur market se exit ho jayen.