Forex Trading main Hedging Strategy ka istemal

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading main Hedging Strategy ka istemal
    Hedging Trading Strategy


    Hedge ka matlab hai k aik hi waqat me ya mukhtasir waqat k leye do alag alag stocks ko buy ya sell karna. Ye technique mukhtalif markets jaise stocks, options ya forex me hi sar-anjam deya ja sakta hai.
    Financial market me chote bare (small ya large) sare traders risk ko kam karne k tareeqay talash karte rehte hen aur risk management ki techniques ka istemal karke apne trades ko successful banane ki imkanant ko barhane ki koshash karte hen. Forex trading k bohut se tareeqay hen, aur aik qabele-amal "Hedging" in me sab se ziada taqatwar technique hai.
    Dar-asal hedging trading technique losses ko kam se kam karne aur kamyabi k imkanant ko barhane ka aik behtareen technique me se aik hai. Yahi waja hai k bohut sare traders is ko khas tawar par qeematon k bare (major) peroid movement k dowran apne trading ka aik lazmi juzz banate hen. Yahan tak k kuch investment fund ka naam bhi "hedge" ki bunyad par "Hedging Fund" rakha gaya hai.

    Click image for larger version

Name:	images (469).jpeg
Views:	7
Size:	19.7 کلوبائٹ
ID:	12513051

    Hedging Technique se Risk kam karna


    Hedging techniques forex trading me bohut ziada aam istemal hota hai. Forex me Hedging k leye trader do (two) musbat (positive) "correlation pair" jaise; EUR/USD aur GBP/USD ya AUD/USD aur NZD/USD ka intekhab karke, dono par mukhalif smeat (opposite direction) me trades open karta hai. Hedging Trading Strategy market k gher-yaqeeni soratehal me losses ko kam se kam karna hai, jis pe ye aik acha kaam karta hai.
    Account ki safety aik trader ka basic kaam nahi hai, q k trading na karne se kabhi bhi loss ka khadsha nahi hota. Humen hedging techniques ki madad se safety bhi qayem karni hai aur munfa bhi hasil karna hai, isi wajah se analyst is hedging ki analysis correlated pairs par hi sar-anjam dete hen. Jab bhi trader ka hedging technique pe trading ka irada ho to us k leye wo do correlated pair pe analysis karen, agar wo same behaviour k sath market me move na kar rahi ho, yani agar aik bullish jata hai to dosra sideways ya bearish movement kar raha ho.

    Direct Forex hedging strategy


    Forex trading k kisi single pair pe do opposite side se buy aur sell ki trades open karne k amal ko "Direct Forex hedging strategy" kaha jata hai. Lekin 2009 me great recession k baad US Commodity Futures Trading Commission ne new regulations issue jari karke is techniques ko band kar deya hai. Misal k tawar par agar aik trader EURUSD par long term ki trades k sath alehda se short term ki trading karta hai, to new rules k mutabiq brokers k pas 1st trades ko band (close) karne ka ikhteyar hai. Lekin agar trader mukhtalif currencies joron par mixup se hedging karta hai, to ye amal jayez hai.

اب آن لائن

Working...
X