Bearish Railway Track Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Railway Track Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Railway Track Candlestick Pattern


    Railway track patteren aik trend reversal pattern hai, jo k two days candles par mushtamil hota hai. Ye pattern aam tor par bohat se traders ke zareya istemaal kya jata hai, kyunkay usay kisi bhi chart mein talaash karna aasaan hai aur usay nazar anay ke liye bohat se indicators ki zaroorat nahi hai. Agarchay railway tracks candlestick patteren ka tasawur bohat seedha hai, lekin is mein bohat se dosray tareeqon se istemaal honay ki salahiyat bhi hai. Ye pattern aik trend reversal ka ishara karta hai. Yeh traders ke liye mumkina nuqsanaat se bachney ke liye positions k buy ya sell ka aik signal hai. Bearish railway track candlestick pattern prices k top ya bullish prices main bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1596).png
Views:	2
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12513033

    Candles Formation


    Bearish railway track candlestick pattern prices k top ya bullish prices main banne par current trend ka khatama karke new trend ka aghaz karta hai, ye pattern do mukhalif candles se mel kar banta hai, jiss main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1595).png
Views:	8
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12513034

    1. First Candle: Bearish railway track candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices top ya bullish trend main hone ki waja se ye aik white ya green color main hoti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jo k ziada tar long real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish railway track candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k same pehli candle k length ya hight ki banti hai, ye candle ziada tar real body main bhi pehli candle k same hoti hai, lekin aik bearish candle hone ki wajase pattern change hota hai. Ye candle prices k trend reversal ka sabab banti hai.

    Explaination

    Bearish railway track candlestick pattern main do mukhalif candles hoti hai, jiss main dono candles ki long aur strong real body hoti hai. Pehle aur dosri candles k real body ka high same hota hai, jab k candles k shadows ya wicks iss main shumar nahi hote hen. Pattern dekhne main tweezers top se ziada mushabehat rakhta hai, jo k same bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Bearish railway track candlestick pattern ki pehli candle bullish hoti hai, jo k bullish trend ki tarjumani karti hai, jab k pattern ki dosri candle bearish hoti hai. Ye bearish candle pehli candle k close point par open ho kar ussi k open point par close hoti hai. Ye pattern aik railway track ki tarah dekhne ki waja se iss ka naam bhi yahi hai, jo k same hight aur real body ki waja se aik trend reversal pattern hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1599).png
Views:	11
Size:	4.3 کلوبائٹ
ID:	12513035

    Trading

    Bearish railway track candlestick pattern trading main ziada tar wazih dekhta hai, jab k iss par trading karna itna ziada reliable nahi hai. Pattern par trading se pehle iss ka low prices par banne k baad aik trend confirmation ka candle ka bhi hona zarori hai. Confirmation candle bearish real body main hona chaheye jiss ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Pattern k baad bullish candle hone par ye pattern invalid ho jayega, jiss par trading se parhez karna chaheye. Pattern ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought area main hona chaheye. Pattern ziada reliable ya strong nahi hai, iss waja se stop loss ka istemal zarrori hai. Stop Loss pattern k sab se top par jo kisi bhi candle ka high ho sakta hai, se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (464).jpeg
Views:	14
Size:	38.2 کلوبائٹ
ID:	12513032

اب آن لائن

Working...
X