After Bottom Gap Up Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    After Bottom Gap Up Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    After Bottom Gap Up Candlestick Pattern


    Technical traders main aajkal Japanese candlestick charts price action ka fori analysis karne ka sab se maqbool tareeqa hen. Candlesticks pattern dosre charts patterns k muqablay main dekhne k tor par bohat ziyada maloomat paish karte hen. Candlesticks market ka sab se high price, low price, open price aur close price ko aik nazar mein dikhata hain. Qeematon ki pichli naqal o harkat ko track karne ke liye un ka istemaal karne ke sath sath, technical traders Japanese candlestick ke patterns ki talaash karte hen ta-keh is baat ka pata lagaya ja sakay ke market kahan ja rahi hai. Candlestick charts pattern prices k top aur bottoms par bohut ziada moasar hote hen, jiss se market ka current trend reversal hone ka sabab banta hai. After bottom gap up candlestick pattern bhi prices k bottom par bullish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	After_bottom_gap_up.png
Views:	1
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12512835

    Candles Formation


    After bottom gap up candlestick pattern prices k downtrend ya bearish area main bullish trend reversal hone ka aik wazih indication deta hai, jiss se prices ka bullish trend reversal main tabdeel hoen ka zarya hote hen. After bottom gap up candlestick pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai:

    Click image for larger version

Name:	images (1578).png
Views:	10
Size:	415 بائٹ
ID:	12512836

    1. First Candle: After bottom gap up candlestick pattern prices k bottom main aik strong bearish candle hoti hai, jo k market k mazeed jane ka indication deti hai. Ye candle real body main bearish hoti hai, jiss k upper aur lower sides par shadow ya wick ho sakte hen, lekin real body lazmi shadow ki nisbat strong honi chaheye.

    2. Second Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki dosri candle bhi strong bearish candle hoti hai, lekin ye candle pehli candle ki nisbat real body main small hoti hai, jiss se market par bearish trend k asarat kam hona shoro hote hen. Ye candle pehli candle ki real body main open ho kar lower par close hoti hai.

    3. Third Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki teesi candle bhi bearish candle hoti hai, lekin ye candle sab se small real body main hoti hai, jo k umoman aik bearish Spinning top candle banti hai. Ye candle dosri bearish candle se lower par gap main banti hai, jiss k upa ur down side par small si wicks ho sakte hen.

    4. Fourth Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki fourth candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle teesri bearish Spinning top candle k barabar main banti hai, jo k prices ko mazeed bearish jane se rokhti hai. Ye candle bearish candle k baad open ho kar doari aur teesri candle k darmeyna gap main close hoti hai.

    5. Fifth Candle: After bottom gap up candlestick pattern ki last ya fifth candle aik strong bullish candle hoti hai. Jo k fourth bullish candle se above gap main banti hai. Y3 candle trend reversal ki indication detti hai, jo k prices ko bohut teezi k sath bullish push karti hai. Ye candle market ki maojoda trend ki tabdeeli ka signal deta hai.

    Explanation

    After bottom gap up candlestick pattern prices k bottom main bata hai, jab bhi ye market main bohut low area ya bearish trend k akher main trade kar rahi hoti hai. After bottom gap up candlestick pattern panch candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main shamil pehli teen candles bearish hoti hai. Bearish candles main pehli candle strong aur long real body wali bearish candle hoti hai, jab k dosri aur teesri candles size main pehli candle se kam hoti hai, jab k teesri small bearish candle aik black Spinning top candle hoti hai, jo k dosri candle se lower gap main banti hai. Pattern ki chothi candle aik bullish small real body wali hoti hai, jo k bearish trend ka khatma karti hai. Pattern ki akhari candle aik bullish long real body wali bullish candle hoti hai, jo k chothi candle se above gap main banti hai.

    Click image for larger version

Name:	33.png
Views:	1
Size:	4.6 کلوبائٹ
ID:	12512837

    Trading

    After bottom gap up candlestick pattern market k current trend ko khatam karke prices ko bullish trend main badal deti hai. Ye pattern traders ko buy ka signal deta hai, jiss par market main entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main lazmi honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se iss ka asarat khatam ho jate hen, jiss par trade open nahi katna chaheye. CCI indicator aur stochastic oscillator se confirmation lene k leye inn ka value oversold zone main hona chaheye. Pattern par trade entry k sath stop loss ka bhi zarror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se bottom area ya teesri Spinning top candle k lower se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1579).png
Views:	3
Size:	35.0 کلوبائٹ
ID:	12512834

اب آن لائن

Working...
X