Bearish Breakaway Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Breakaway Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Breakaway Candlestick Pattern


    Financial market main candlestick patterns ya chart patterns ko supply aur demand ke darmiyan tawazun ko zahir karti hai. Jab koi stock oopar jata hai to buyers matket par control mein hotay hain. Market ki iss situation main supply se ziyada demand hoti hai. Buyers stock haasil karne ke liye ziada active hote hen, jiss se wo ask price par buy karte hen. Jab koi stock fall kar raha hota hai to uss waqat market ki condition iss se mukhtalif hoti hai. Sellers market ko mojooda qeemat par sell karke uss ki qadar main kami karte hen, jiss wo nechay jata hai. Bearish Breakaway candlestick pattern prices k top par jahan par stock ki supply ziada aur demand kam hoti hai, banta hai, jo k aik bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1565).png
Views:	8
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12512786

    Candles Formation


    Bearish Breakaway candlestick pattern prices k top main panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli aur akhari candles long real body main hoti hai, jab k darmeyan main teen small real body ki candles hoti hai, jo k prices k main pause peda karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai ;

    Click image for larger version

Name:	images (1564).png
Views:	18
Size:	4.6 کلوبائٹ
ID:	12512787

    1. First Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka close open se upper hota hai. Ye candle long real body majn hoti hai, jiss main pattern ki real body shadow k muqabele main ziada hoti hai. Ye candle prices k mojoda bullish trend ki akasi hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali hoti hai, jo k pehli candle se above gap main banti hai. Ye candle wese to ziada tar bullish hi hoti hai, lekin zarori nahi hai, k aisa hi ho. Pattern ki dosri candle umoman pehli candle k top par banti hai.

    3. Third Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki teesri candle bhi dosri candle ki tarah small real body main hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, lekin aksar ye dosri candle k inverse main banti hai. Ye candle dosri candle k top ya parallel main banti hai.

    4. Fourth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki fourth candle aik ziada tar dosri candle ki tarah hoti hai, jo k same small real body wali candle hoti hai. Ye candle teesri candle k top par banti hai, lekin aksar ye bullish candle hoti hai, jo k zarori nahi hai, q k ye bearish bhi ho sakti hai.

    5. Fifth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k strong real body main banti hai. Ye candle prices main sellers ki mazboti ki akasi karti hai. Ye candle fourth k baad banti hai, jo k teeno small real body wali candles ko cover karne k baad pehli aur dosri candle k darmeyan wae gap main close hoti hai. Bearish candle ki strong real body se bullish ka trend khatam ho jata hai, aur market sellers k control main a jata hai.

    Explanation

    Bearish Breakaway candlestick pattern prices k bottom ya bullish trend main banta hai. Ye candle akhaz main market par buyers ka control, darmeyan main prices ka pause aur akher main market par sellers k dabao ko dekhaya jata hai. Ye pattern panch candlestick par muheet aik bearish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo market par buyers ka control zahir kia jata hai. Pattern ki agli teen candles small real body main hoti hai, jab k ye bearish aur bullish dono ho sakti hai. Teeno small candles pehli candle k top par gap main banti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k strong real body main hoti hai. Ye candle teeno small candles ko cover karti hai, jo k open fourth small real body k upper par ho kar aur close pehli aur dosri candle k darmeyan gap main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1563).png
Views:	26
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12512788

    Trading

    Bearish Breakaway candlestick pattern majn strong bullish trend k baad prices sellers k control main a jati hai, jo traders ko sell ka signal deti hai. Ye pattern high prices area main hona chaheye, jab k last bearish candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle real body main bearish honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne par pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought area main hone chaheye. Pattern k leye stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se upper par ya small candles k top se two pips above set karen.


    Click image for larger version

Name:	images (1566).png
Views:	10
Size:	18.7 کلوبائٹ
ID:	12512785

اب آن لائن

Working...
X