The pin bar candlestick pattern strategy
Pin bar aik mashahoor Japanese candlestick hai, jis ka istemal ziada tar price action traders qeematon k reversal ka tayun (prediction) karne k leye karte hen.
Pin bar candlestick ki aik lambi dum (wick or shadow) hoti hai, jo us semat me qeematon ko reject karti hai, aur ye batati hai, market mukhalif semat me chalegi.
Pin bar candlestick ki open aur close position k darmeyan area ko real body kaha jata hai, aur taqreeban tamam pin bar ki real body bohut choti aur aik lamba saya hota hai.
Bullish pin bar candlestick ko lower wick se pehchana jata hai, jab k upper wick wali pin bar bearish candle k leye hota hai. Pin bar candlestick me color ki koi ahmeyat nahi hai, albata bullish pin bar wali white color ki candle black color ki candle se ziada mazbot hoti hai. Aur isi tarah se bearish pin bar wali black candle white candle se ziada strong hoti hai.
Identification of Pin Bar Candlestick
Pin bar market me up-down ya sideways position pe bante hen, lekin is ki pehchan bohut zyada zarori hai, k kon si pin bar candle ziada strong hogi.
Agar aik pin bar matket me trend ki semat me banti hai, to ye aik strong continuation signal deti hai, aur ye trend k against payejane wali pin bar se ziada strong candle hoti hai.
Pin bar se pata chalta hai, k market kis k control me hai, agar pin bar bullish side pe ziada move karti hai, to ye buyers ki mazboti batati hai, jab k beariah pin bar sellers ki taraf ishara karti hai.
Pin bar nakam bhi ho sakte hen, lekin is ka ye matlb nahi hai, k aap ki identification ghalat hai, bulke market sath nahi deta wo alag baat hai.
Jitna ziada strong ya lamba timeframe hoga to pin bar ki value bhi usi tarah se ziada hogi, kam timeframes me pin bar bari tadad me bante hen lekin us ka koi faida nahi rehta.
Pin Bar ki Pechay ki Psychology
Pin bar candlestick us waqat banti hai, jab bhi qeematen reject ho jati hai, qeematon k rejection ka matlab reversal hargez nahi q k ye candle charts me kisi bhi position pe ban sakti hai.
Pin bar candle jab bhi kisi khas position pe banti hai to us waqat is ki value me izafa hota hai, jaisa k support aur resistance, supply aur demand ya moving averages pe. Agar in moqo pe ye candlestick banti hai, to is ka matlab hai k market me qeematon ki movement ne rado-badal mumkin hai.
Agar qeematon ki rejection support level pe hoti hai, to ye bearish rejection hogi, is par ziada chance hote hen k qeematen upward jayegi. Aur isi tarah resistance level pe rejection hone par bullush rejection tasawar hoga aur qeematon ka downward jana ziada wazih ho jata hai.
Trading the pin bar candlestick
Pin bar candlestick pe trading se pehle is ki position ko baghawar dekhna chaheye, agar ye trend k line me form hoti hai aur timeframe h1 se ziada hai to aap trend k side pe trade kar sakte hen. Lekin agar ye trend k opposite hen to is k leye dosre indicators se madad leni parti hai.
Support aur resistance levels pe pin bar candle ki importance ziada hoti hai, yahan pe dekhen k confirmation candle kis side pe ziada strong hai, usi position pe market me entry bhi kis ja sakti hai.
Price action aur moving averages k sath istemal karne par pin bar candlestick ki accuracy me izafa hota hai, is waja se hamesha is candlestick ko dosre indicators k sath istemal karen.
Pin bar pe trading se pehle appne qeematon pe stop loss ka istemal bhi ensure kara leya karen, q k lazmi nahi hai k har pin bar trend reversal ya trend continuation ka hi signal de. Trading se pehle apne rrade ko risk reward ratio k mutabiq set karen.