Alligator Indicator
Alligator indicator aik trend following indicator hai jis ko aik mashahoor financial market psychologist Bill William ne 1995 me banaya tha. Chonkeh is indicator k mutabiq qeematen aik magar-mach ki shap banati hai, is waja se is ko Alligator indicator kaha jata hai. Alligator indicator k mutabiq financial market me qeematen soif 15% se 30% tak hi low ya high jati hai, yani in percentage me hi sirf prices ya to bullish trend pe hoti hai aur ya bearish trend pe hoti hai, jab k baqi 70% se le kar 85% tak qeematen sideways movement pe ya trend pe hoti hai yani market chuppy rehti hai.
Alligator Indicator and Moving Averages
Alligator indicator me smoothed moving averages ki simple moving average k sath calculate kia jata hai. Moving averages pe indicator calculation karke market ki qeematon ka result nikalta hai. Alligator indicator three 5,8 aur 13 time period k moving averages ka istemal hota hai.
Alligator Indicator ka kaam ka tareeqa
Alligator indicator bhi alligator yani magar-mach ki tarah kaam karta hai. Jis tarah se magar mach ziada waqat k leye sleeping mode me hota hai aur shikar kabhi kabhi karta hai, to is indicator ka bhi same function hai k is indicator me ziada tar market sideways ya sleeping mode me hota hai. Lekin jab magar mach kuch waqat k leye shikar karta hai, to us k leye apan mon (mouth) kholta hai, to indicator bhi market me kuch hi waqat k leye active hota hai, aur trend ko bullish ya bearish move karwata hai.
Alligator Indicator Lines Information
Alligator indicator mein qeematen teen lines pe mushtamil hote hai:
- Jaw
- Teeth
- Lips
Jaw Line
Jaisa k aik alligator ka jaw sab se mazbot hisa hota hai, isi tarah se is indicator me jaw line sab se strong line hai. Jaw line ka breakout baqi lines ki nisbat sab se mushkil hai, q k is me ziada time period ka moving average 13 periods ka istemal hota hai. Jaw line ka mazbot hona is waja se hai q k is me jo moving average ki value istemal hoti hai wo baqi lines ki nisbat ziada time period ki hoti hai.
Teeth Line
Teeth line Jaw line jaise mazbot to nahi hoti hai lekin pher bhi ye Lips line se ziada strong hoti hai. Teeth line me darmeyana time period ka yani 8 time periods ka moving average istemal hote hen, is waja se ye line jaw line se kamzor hoti hai.
Lips Line
Lips line sab se kamzor qeematon wali line hoti hai jis me sab se kam time period ka yani 5 time period ka moving average istemal hota hai, is waja se ye line baar baar breakout hoti rehti hai. Lekin is line ka istemal dosre lines k sath bohut ahmeyat ikhteyar kar jati hai.
Indicator k lines ka open aur close hona
Alligator indicator me lines k aik dosre se k darmeyan faisele ki bohut ahmeyat hai, jab bhi lines open position me hoti hai, to us sorat me market bhi trend me hoti hai, leki agar lines ki position aik dosre k close hoti hai to us sorat me market sideways movement me hoti hai.
Alligator indicator Convergence-divergence k rules regulations k mutabiq signal jari karta hai. Alligator indicator me Jaw line ki movement sab se slow aur Lips line ki movement sab se tez hoti hai.
Trading on Alligator Indicator
Alligator indicator me lines ki position hi humen buy ya sell ka signal deta hai. Agar alligator indicator me Jaw line baqi do line se nechay ho, yani teeth line darmeyan me ho, aur lips line sab se uper ho, to is sorat me market bullish trend me hoga. Bullish trend me traders market me buy ki entry kar sakte hen.
Lekin agar alligator indicator me istemal hone wali lines ki behaviour is se opposite ho, yani Jaw line uper ko chali jaye aur teeth line datmeyan same ho jab k lips line sab se nechay a jaye to us sorat me market sell position k leye thek hogi.
Agar alligator indicator ki lines aik dosre k qreeb hon aur apas me mixup ho rahe hon ya teeth line nechay ya upper ho to us sorat me market chuppy condition ya sideways trend me hogi. Jitna lines k darmeyan faisela ziada hota jayega, trend ki movement bhi us hisab se tez hogi.