Assalamu Alaikum Dosto!
Tower Bottom Candlestick Pattern
Tower bottom candlestick pattern main five ya five se ziadda candles hotti hai, jo k prices k bottom trend ya low price wale position par nazzar atta hai. Ye pattern aik strong bullish trend reversal ka kaam kartta hai, jabb qeematen bohut ziadda bottom trend par trade kar rahi ho. Pattern k aghaz par aik long real body ki bearish candle hotti hai, (aggar bearish candle na ho to ye small real body ki ziadda bearish candles bhi ho saktti hai). Bearish candle k baad dossri aur teesri candles aik small real body main hotti hai, aur ye candle mukhtalif colours main ho saktti hai. Pattern k akher main chotti or fourth candle aik long real body ki bullish candle hotti hai, jo k pattern ko dossre end se mukammal kar detti hai.
Candles Formation
Tower bottom candlestick pattern main cabdles ki makhsos taddad nahi hai, ye candles dass (10) tak bhi ho saktti hai. Lekin standard tower bottom pattern ko panch candles se bhi mukammal pattern kaha ja hai. Tower top pattern main candles ki tafseel darjazzel hogi;
1. First Candle: Tower bottom pattern ki pehlee candle aik long real body wali black ya red candle hotti hai, jo k pattern k aik side k pillar ya tower hotta hai. Ye aik long bearish candle hotti hai, jis ko pattern ka left tower bhi kaha jatta hai.
2. Second Candle: Tower bottom pattern ki dosree candle small real body main hotti hai, ye candle kisi bhi trend (Bullish or Bearish) ki ho saktti hai. Dosree candles k color ki koi ahmeyyat nahi hai lekin is ka size bohut small honna chaheye.
3. Third Candle:Tower bottom pattern ki teesree candle bhi dosree candle ki tarah small real body main hotti hai, ye candle bhi kisi bhi color main ho saktti hai, yanni color ziadda important nahi hai, lekin small body main honni chaheye.
4. Fourth Candle: Tower bottom pattern ki chothi candle bhi dosri aur teesri candles ki tarah samll size aur kisi bhi type ki ho saktti hai. Is candle ka bhi color black and white dono tarah se pattern k mutabiq hotta hai.
6......10 Other Small Candles: Aggar tower bottom pattern main small candles ki taddad panch se ziadda hai to us sorrat main ye candles bullish ya bearish jo bhi ho pattern k muttabiq acceptable hai. Lekin candles ki real body lazzmi small size main honni chaheye, jo k pattern k leye zarrori hai.
5.Fifth Candle:Tower bottom candlestick pattern k muttabiq pattern ki akhari aur panchwen candle aik bullish candle hoggi, jo k size main pehlee bearish candle k barabar ho saktti hai, yanni ye candle aik long real body wali white ya green candle honni chaheye. Is candle ko pattern ka right tower kahha jatta hai, jo mumkinna tawar parr trend reversal ka kaam kartti hai.
Explaination
Tower bottom candlestick pattern ziadda tar bottom trend main banne ki waja se strong bullish trend reversal pattern ka kaam kartta hai. Pattern ki panchwen aur last candle aik long real body wali bullish candle hotti hai, jis se pattern ka trend baddal jatta hai. Tower bottom pattern main pehlee bearish candle ko left pillar ya tower jab k last bullish candle ko right tower kaha jatta hai. Pattern k bullish aur bearish candles k darmeyyan main small real size main black aur white candles hotti hai, jo k bearish trend k khatme ka bahiss bantti hai. Small candles k leye zarrori nahi hai k ye lazzmi kisi white ya black color ki ho lekin sizze lazzmi small honna chaheye.
Trading
Tower bottom pattern aksar bullish trend reversal main dekha jatta hai, jab bhi prices aik market k bottom position par challi jatti hai, to wahan se trend reversal k chances ziadda ho jatte hen. Tower bottom candlestick pattern main small real body wali candles bearish trend k end ka signal detti hai.
Pattern par trading karne se pehle pattern k top position aur bullish candle k baad aik confirmation candle ka intezar zarror karen. Aggar ye bullish candle real body main bantti hai, to ye position market main buy ki entry ka hogga. Pattern ki confirmation dosrre indicators se bhi confirm kia ja saktta hai. Stop Loss pattern k sab se lowest point se aik ya do pips bottom position par set karen.