Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Downside Tasuki Gap Pattern


    Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil aik mazbot trend continuation pattern hai, jo k prices k low level ya bearish trend main banta hai. Pattern k pehle do candles jo k bearish candles hotti hai, jin k darmeyan main downside par gap banta hai, jiss se pattern ki mazboti main mazzeed izzafa ho jata hai. Dosri bearish candle k baad aik bullish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bullish candle dosree bearish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Ye pattern market k bearish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi lower level par jane ki koshash karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1378).png
Views:	6
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12512147

    Candles Formation


    Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles ka aik bearish continuation pattern hai, jis main pehle do candles black ya red color k yanni bearish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle white ya green color ki yanni bullish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1377).png
Views:	8
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12512148

    1. First Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bearish candle hotti hai, jo k black ya red color main banti hai, ye candle normal bearish size ki candle hoti hai, jo k bearish trend ko show kar rahi hoti hai.

    2. Second Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main downside par banta hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye.

    3. Third Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik white ya green color main yanni bullish candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bullish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye white candle bullish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai.

    Explaination

    Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Ye pattern bearish trend ya haleya bullish ya sideways trend se bearish breakout k baad banta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bearish candles hoti hai, jin k darmeyan downside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open bearish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1426).png
Views:	10
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12512153

    Trading

    Downside Tasuki gap candlestick pattern aapko market main sell ka signal faraham karta hai, ye pattern dosre trend reversal pattern se ziadda reliable hota hai, jab k candles k darmeyan banne wala gap bearish trend continuation pattern ka signal hotta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye.
    Pattern ki bullish candle k baad confirmation k leye aik bearish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bearish candle pat market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss pattern k sab se top side ya pehli candle k open position par set karen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220307_124209.png
Views:	2
Size:	96.7 کلوبائٹ
ID:	12512146

اب آن لائن

Working...
X