Over-Trading
Over-trading se murad financial market ye forex market me apne limits ya awqat se ziada trades open karna. Forex trading me over-trading sab se bari mistakes k tawar par jana jata hai. Traders (ziada tar new traders) forex market me over-trading ki waja se apne account ko bohut ziada loss de jate hen. Umoman traders k account wash bhi over-trading ki hi waja se hote hen. Forex trading market me over-trading do tarah se hoti hai:
Bare lot size ka istemal
Bara lot size jo account k risk ratio se ziada ho over-trading hai. Forex trading me agar hum money management, discipline aur risk management se kaam nahi karengay, to hum se bare (large) lot size select hongay, jo over-trading ki aik misal hai.
Agar hamare account kam sarmaye k hen to pher to humen bare lot bulkul bhi istemal nahi karne chaheye, aur agar hamare account ziada hujam k hen to pher humen risk aur money management k hisab se hi kaam karna chaheye. Humen is ghalat pehmi me nahi parna chaheye k hamare account me sarmaya ziada hen to is ko kuch nahi hoga, bulke humen apne account ko safe tareeqay se handle karna chaheye.
Had se ziada trading karna
Agar hum forex market me mutawater trading karte rahengay to ye bhi over-trading trading me shumar hota hai. Forex trading ka market 24-hours open hota hai, is waja se humen jaldbazi se kaam nahi lena chaheye, bulke proper analysis k mutabiq apne target ko hasil karne k bad apna mazeed kaam dosre din me shoro karna chaheye. Ziada trading karna humare leye zaror loss ka sabab banti hai. Dosra agar humen trading me loss ho raha ho, to us loss ko kam karne k leye mazeed trading nahi katni chaheye, q k aksar hamara loss mazeed barh jata hai aur hamare account tak wash ho jate hen.
Over-trading se bachne k kuch tips
[LIST][*]Forex trading market me proper analysis k sath kaam karen. Analysis k elawa trades open karne se ijtenab karen.[*]Apne trading plan (discipline) par sakhti se amal karen, is se mazeed trading hum control kar sakte hen.[*]Trading me stop loss ka istemal kia karen, aur loss ko kam karne ki koshash me mazeed trading se bachen, agar stop loss hit hota hai to hone den.[*]Apne account ki volume barhane ki koshash karen.[*]Risk management aur money management se kaam karen. Agar account mazeed trades ki ijazat nahi deta to na karen. Beshak trades faida-mand q na sabit ho rahe hon.[*]After trading plateforme (mt4 aur mt5) ko check na karen. Is se hamare dil me mazeed trading ki lalach peda hooti hai.[*]Forex trading me rato-rat ameer banne k sapne na dekhen, bulke aram aram se thora thora profit hasil karne ki koshash karen.