What is the supply and demand in forex trading....?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is the supply and demand in forex trading....?
    Forex market ho ya stock ho ya dunia ke koi aur dosri trading market, sb supply aur demand pe chalti hain. Supply aur demand ko samjhna aur us kay asoolon ko samjhna sab sy zaida important hai kun kay ye wo main cheez hai jo markets ke price ko up ya down move karte hai. Aap nay supply aur demand kay concept ko samjhna hai aur phir us sy related aany wali news ko daily obseve karna hai. Aur phir un news main sy jo important news hoti hain unkay oper idea lagana hai kay market main demand zaida hay ya supply.

    What is Supply?

    Supply wo mikdaar ya tadaad hai jo matket main kise currency ya commodity ke jo market main mojood hoti hai. Agar kise currency ke supply market main zaida hoti hai to us currency ke value main kami wakiya hoti hai. Aur esi kay baraks agar kise currency ke supply main kami aay to us ke value main izzaffa hota hai. Log zaida tar wo cheezin khareedty hain ya un cheezon main invest karty hain jinke supply km hoti hai kun kay un ke value main musalsal izzfa dekhny ko milta hai. Jesa kay aap diamond aur normal pathar ka andaza laga lain. Diamonds ke supply km hai to aapko bahut mehngy milty hain lekin normal pathar aapko har jagha sy milty hain to wo free hain ya bahut sasty hain.

    What Is Demand?

    Demand ka urdu main matlab bhe Talab hain, jis ka matlab hay kay market main kise bhe asset ke kitne requirement hai. Jab market main kise currency ke demand main izafaa hota hai to iss ke value bhe zaida ho jaate hay aur esi tarha jab kise currency ke demand main kami aati hay to ess ke value main bhe kami ho jaate hai.

    Three States Of Supply And Demand

    First Demand exceed supply, Jab matket main demand zaida aur supply kum hoti hai to demand supply competition ke wajha sy price main izaffa hota hay.
    Second Supply exceed demand. Jab market main supply zaida aur demand kum hote gai to esi soorat main market ke value main kami aati hai.
    Third Equilibrium, Jab market main demand aur supply dono barabar hon, yani kay demand jitne ho utne he supply ho to market ke value na to kum hoti ha na zaida hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	download (6).png
Views:	10
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12511415


    Demand/Supply aur Support /Resistance

    Forex trading me demand aur supply k leye support aur resistance ka istemal kia jata hai. Chokeh forex trading me ye mumkin nahi hai k aik currency jora sirf up (bullish) ya down (bearish) jayega, is waja se ye aik khas position se apna semat (trend) badal deta hai.
    Jab bhi aik currency ki demand ziada hoti aur uper (up) chala jata hai to aik aisa position ata hai k waha se us ki wapasi yaqeeni ho jati hai, us position ko forex trading me selling area ya resistance zone bhi kaha jata hai. Isis tarah agar aik currency jora downward jata hai aur supply me izafay ki waja se us ki value me kami waqea ho jati hai, to nechay aik aisa position a jata hai jahan se us ki wapasi yaqeeni hoti hai, us position ko support zone ya buying area kaha jata hai.

    Supply aue demand area me trading karna

    Agar forex trading me supply aur demand ka factor na hota to currencies ki trading mumkin na hoti. Forex trading me currencies pair makhsos levels k darmeyan harkat kar rahe hote hen, is waja se ye traders k leye investment ki opportunity peda karti hai.
    Jab bhi market me demand ziada ho jaye aur qeematen resistance area tak pohunch jaye to us position pe humen sell ki trades open karne chaheye, isi trah jab market me qeematen supply ziada hone ki waja se support level par a jaye to humen buy k trades open karne chaheye. Supply aur demand zone me trading k leye humen RSI aur Schotic oscillators ka istemal karna chaheye.

اب آن لائن

Working...
X