Morning Doji-star Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Morning Doji-star Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Morning Doji-Star Pattern


    Morning doji-star candlestick pattern prices k bottom par uss waqat banta hai, jab bhi sellers ki bohut ziada pressure aur assets ki high supply ya low demand ki waja se prices bohut ziada nechay ja chuki hoti hai. Ye position aksar prices k support level sabit hoti hai, jiss main prices yakdam upper charna shoro karti hai. Morning doji-star candlestick pattern main teen candles hote hen, jiss main pehli candle prices par sellers ka dabao, dosre candle prices ko mazeed nechay jane se rokne aur last teesri candle prices ko reversal direction main badal deti hai. Jab bhi high supply ki waja se assets ki prices bohut ziada nechay jane lagti hai, to aik aisi satah ati hai, jahan par iss main izzafa hona shoro hoti hai, ziada demand wale area main aksar prices small candle banati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1311).png
Views:	1
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12511221

    Candles Formation


    Morning doji-star candlestick pattern bearish trend ya low demand area main paya jata hai, jiss se k baad prices mumkina tawar reversal jana shoro karti hai. Ye long timeframe main ziada bante hen, jab k iss pattern k teen hessey ya pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai:

    Click image for larger version

Name:	images (4) (502).jpeg
Views:	18
Size:	15.5 کلوبائٹ
ID:	12511222

    1. First Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki pehli low prices area main hone ki waja se bearish candle hoti hai. Ye candle aik prices k bearish trend ki akasi karti hai, jo mumkina market ki teezi dekhati hai. Candle ki real body bearish trend k mutabiq black ya red hoti hai.

    2. Second Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik bagher real body wali candle hoti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai, yanni ye aik doji candle hoti hai. Ye candle banti to pehli candle k bottom par hai lekin iss ki real body na hone ki waja se asarat bullish trend ki hote hen, ye candle bagher color ki umoman doji star candle hoti hai, lekin position pehli candle k bottom par honi chaheye, jo bohut important hai.

    3. Third Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki teesri candle trend reversal k mutabiq hoti hai, q k ye dosri candle prices ko rok kar mazeed bearish jane se rokti hai, jab k third candle bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle se above aur pehli candle k parallel banti hai.

    Explaination

    Morning doji-star candlestick pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k long term k timeframes main low prices ko high price direction main tabdeel kar dete hen. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad aik doji-star candle banti hai, aur last par aik bullish candle hoti hai. Bearish candle market main sabeqa trend ki alamat hoti hai, jiss k baad banne wali doji candle prices ko mazeed nechay jane se rokne k kaam karti hai, jab k last par bullish candle trend reversal k leye jani jati hai. Ye pattern dekhne main "Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern" se ziada mushabehat rakhta hai, aur candles ki formation bhi taqreeban same hoti hai, lekin uss main istemal hone wali doji candle bearish aur bullish dono se nechay wazih gap main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (501).jpeg
Views:	4
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12511223

    Trading

    Morning doji-star candlestick pattern trading k leye aik perfect bullish ya buy k signals generat karta hai. Pattern par trading k leye prices ka low area main hona zarori hai, jab k indicators par uss waqat oversold zone hona chaheye. Pattern par trading se pehle aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main pattern k sare candles se top side par close honi chaheye. Iss candle par market main buy ki entry ki ja sakti hai, jab k ye candle black real body main hone se pattern ka asar khatam ho jayega. Pattern par trading k leye risk ko kam karen jab k Stop Loss pattern k sab se bottom side par ya doji star candle k lower side se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (500).jpeg
Views:	7
Size:	28.8 کلوبائٹ
ID:	12511220

اب آن لائن

Working...
X