Bullish Mat-Hold Pattern
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Mat-Hold Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Mat Hold Pattern


    Bullish mat hold pattern bullish trend main banta hai, jo k same bullish trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti, jo k prices k top par ban kar market ki strong uptrend ka ishara hota hai, jiss k baad real body wali teen small bullish aur bearish mixup candles hoti hai, small candles bearish hone par dekhne main same three black crows pattern jaise dekhte hen, lekin ziada strong real body na hone ki waja se ye candles pehli bullish candle ki real body main banti hai. Pattern ki last ya panchwen candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k teeno candles k bottom par ban kar top par close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (498).jpeg
Views:	1
Size:	20.0 کلوبائٹ
ID:	12511216

    Candles Formation


    Bullish mat hold pattern aik strong bullish trend continuation ka ishara deta hai, jiss par pattern ki pehli aur akhari candles bullish jab k centre wali teen candles bullish aur bearish mixup hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (499).jpeg
Views:	9
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12511217

    1. First Candle: Bullish mat hold pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle prices k bullish trend ko show karti hai, q k ye white ya green color main banti hai. Ye aik strong candle hoti hai, jiss k long real body hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish mat hold pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jo k real body main black ya red candle hoti hai. Ye candle pehli bullish candle k upper ya closing point par to open hoti hai, lekin small real body hone ki waja se close ussi ki real body main hoti hai.

    3. Third Candle: Bullish mat hold pattern ki teesri candle bhi same dosri candle ki tarah hoti hai. Ye candle dosri candle k bottom par banti hai, lekin iss candle ki bhi small real body hone ki waja se pehli candle ki real body main open aur close hoti hai. Ye candle bhi bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai.

    4. Fourth Candle: Bullish mat hold pattern ki fourth candle bhi same dosri candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k dosri aur teesri candles ki tarah same small real body main hoti hai aur ussi tarah se pehli bullish candle k open prices se below nahi jati hai. Ye candle bhi black ya red real body main banti hai, jo k tessri candle k bottom par banti hai.

    5. Fifth Candle: Bullish mat hold pattern ki last ya panchwen candle aik bullish long real body wali bullish candle hoti hai, jo k small bearish candles k top par open ho kar top par close hoti hai. Ye candle pehki candle k taqreeban parallel par banti hai, jo k prices ko sabeqa bullish trend continuation ka sabab banti hai.

    Explaination

    Bullish mat hold pattern market k ya prices k midpoint ya top par trend continuation karta hai. Ye pattern dekhen main bullish threen line strike ya rising three method se melta julta hai, lekin candles ki formation ki waja se un se thora sa mukhtalif dekhaye deta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli aur last candles aik long real body wali bullish candles hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k centre main small real body wali teen bearish ya bullish mixup candles hoti hai, jo k pehli aur panchwen candles ki real body main banti hai, yanni inn candles k darmeyan main open aur close hoti hai. Ye pattern newly bullish breakout trend main ziada positive result deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (497).jpeg
Views:	2
Size:	26.0 کلوبائٹ
ID:	12511219

    Trading

    Prices chart par continuation pattern ki sab se bari hasseyat ye hai, k iss ki reliability trend reversal pattern ki nisbat ziada hai, jiss ki waja se iss ki successful ratio bhi ziada hota hai. Bullish mat hold pattern aik trend continuation pattern honi ki waja se bullish prices main ban kar same trend ko uptrend main continue karwata hai. Ye pattern aik strong positive signal deta hai, agar prices k sath technical indicators bhi 50 level se above zone main trade kar raha ho to. Pattern par trading se pehle aik confirmation bullish candle ka hona zarori hai, jo k traders k leye buy k signals genrate karega. Stop Loss pattern k sab se bottom position jo k umoman first aur last candle ka open price banega par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (496).jpeg
Views:	12
Size:	29.9 کلوبائٹ
ID:	12511218

اب آن لائن

Working...
X