Explanation of term "Dull Market" in forex,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explanation of term "Dull Market" in forex,
    dear friends, forex trading main market mukhtalif kisam ki moments fluctuations karti hui kabi uptrend main hoti hay aur kabi down trend ma jati ha, dull market hum market ki us moment ko kehtay hain jis ma boht small aur slow moments hoti hain, aisi situation ma market aik support aur resistance par hold rehti ha, daily ki price changes aur actions ma boht thora difference daikhnay ko milta ha, is baray ma kuch experts ka ye khyal hota ha kay is period main market apni strong upward ya downward rallies kay liay ready ho rahi hoti ha aur breakout k baad further fast advance moment karti ha,

    Explanation of Dull market:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220303_0728281.jpg
Views:	1
Size:	9.3 کلوبائٹ
ID:	12511036

    Dull Market ko hum flat market or market at rest kay sath bhi reffer kar sakty hain, aisi situation main market hamesha apnay opening point kay pass hi close ho jati hay, investor is time par apnay orders ko hold kartay hain aur kuch ka ye khyal hay kay market flat bottom kay bad upside hi move karti hay, lihaza trader ko bhi is time par upward trade matlab buy kay lae ready rehna chaiay, prices ki long decline k baad b traders ko dull market ka samna karna parta ha, is ma market opening prices k near hi close hoti ha, is tarah ki situation k baad market ma pairs ki prices ziada tar rise hi karti hain, dull market k baad jo b move hogi wo big hoti ha,

    How to trade dull market:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220303_0728280.jpg
Views:	1
Size:	15.8 کلوبائٹ
ID:	12511037

    kuch traders dull market sa bhi faida hasil karnay ki koshish kartay hain aur smaller moves sa benifit hasil kartay hain kiun kay aisi situation main market less volatile hoti hay, lihaza hmain dull market kay baad trading kay liay proper anaylisis karnay chaian aur is ki moment sa aware rehna chaiay ta kay agr market up ya down breakout karay to trend kay hisab sa achi strategy bna kar profitable trading kar sakain
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Explanation of term &quot;Dull Market&quot; in forex,

    Introduction of Dull Market.
    Ji dear forex market main trading kay kiye do he options hain buy ya sell, laikin in main bhi faisla karny say pehly market ko read aur understand karna bahut zaroori hay. Baz dafa market ko ham read to kar laity hain but understand nai kar sakty. Chahy market liquid ho ya slow. Laikin slow market ko understand karna bahut mushkil hota hay specially jab ham buy ya sell ka decision karna chahain. Market ki slow movement ko dull market kaha jata hay jab sary pairs main hamain mandinka rujhan nazar ata hay. Aisi surat main maximum pairs down side a rahy hoty hain aur ksi pair main buy opportunity nai milti.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220303-094221_1.jpg
Views:	1
Size:	80.2 کلوبائٹ
ID:	12374753

    Understanding of dull market.
    Dull market situations market ko worst and tough situations hoti hain. Jin main na sirf market down side ati hay balkeh moment bhi slow hoti hay aur trading activities bhi limited ho jati hain. Market ki dull states main trading say avoid he karna chahiye. Dull market main price consolidation bhi hoti hay laikin ranges bahut kam hoti hain. Even some pairs ka spread bhi consolidation main bamushkil cover hota hay. Is liye kai pairs main trading baz dafa stuck ho jati hay. Laikin behter yeh hay keh jab market dull ho to hamain close support and resistance ko bhi observe karna chahiye ta keh in main ham short term trading kar sakain.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220303-094235_1.jpg
Views:	1
Size:	164.7 کلوبائٹ
ID:	12374754

    Trading instructions.
    Dull market main traders sirf short positions main he trade kar sakty hain. Dull market main trades indecisive ka shikar hoty hain jis waja say trend stuck ho jata hay aur koi clear price direction nai mil rahi hoti. Isi waja say market bar bar support and resistance levels ko bahut slow moment kay bad test kar rahi hoti hay. Yahan per break out nai ho raha hota jis waja say short yerm trafing he possible hoti hay.

    اب آن لائن

    Working...
    X