Forex Trading me moving averages k sath trading karna
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me moving averages k sath trading karna
    Moving Average (M.A) k sath trading karna


    Moving Average (MA) aik aisa aala (instrument) hai, jo keh trend ka mutalea (study) karne aur market me dakhele (entry) aur bahir (exit) karne k leye signal peda karta hai. Moving average aik muqarara waqat me closing price k mathematics ausat (average) hai. Jitna peroid lamba hoga to us hisab se moving average ka graph ka unchaye (magnitude) kam hogi. Kisi makhsos time peroid me jitne closes number hongay, us ko moving average index kaha jata hai. Market signal baqaya qeemat (value) ka hisab laga kar tayar keye jate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (379).jpeg
Views:	2
Size:	16.9 کلوبائٹ
ID:	12511005

    Baqaya (Residual) = Price(X) - MA(X)

    Jab baqaya (residual) musbat area se guzarta hai to ye aik "buy" signal ko banata (genrate karta) hai.
    Lekin agar baqaya (residual) signal zero se nechay gerta hai, to ye "sell" k sivnal ko banata (ya genrate karta) hai.
    Is baqaya (residual) tareeqay k leye aik khas istelah (moving average convergence divergence, ya sada MACD bhi kaha jata hai) istemal hoti hai, jis me do chalti moving averages ka istemal hai.
    Jab chota MA yani chota MA index ( jis ko oscillating MA index bhi kaha jata hai) MA bare (longer) MA index ( jis ko basic MA index bhi kaha jata hai) k oper (above) se uboor (cross) karta hai, to "sell" ka signal genrate hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1271).png
Views:	1
Size:	29.0 کلوبائٹ
ID:	12511003

    Baqaya (Residual) = Basis MA(X) - Oscillating MA(X)


    Moving Average k baqaya (residual) tareeqakar ki kamyabi ka inhisar muntakheb karda MA indices par bohut ziada hai. Ye market k halat par munhasir hai k humen chota (shorter) MA acha natija deta hai ya bara (longer) MA. Jab Moving Averages (M.A) ka aik acha jora mutakheb kia jata hai to is k natayej bhi achay hote hen. Lekin is ka nuqsan ye hai k market k maximum aur minimum tak pohunchne k bad hi signal banta hai, yani is se signal thora sa late genrate hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (381).jpeg
Views:	13
Size:	50.7 کلوبائٹ
ID:	12511004

    Baqaya (Residual) tareeqa sada ya software program ki madad se behtar banaya ja sakta hai. Ye baat zehen nasheen honi chaheye k jab bhi market k ziada rozana closes istemal hongay, to market k halat badalte hi indices ko adjust karne ki zarorat hogi.
    Moving averages (M.A) ko istemal karne se pehle market ka baghawar mutalea zarori hai. Q k moving average aur oscillators me faraq hai. Moving average market k trend ko read karta hai jab k oscillators ko sideways market me istemal kia jata hai. News traders k leye moving average ka seekhna aur is ka istemal achay tareeqay se karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (380).jpeg
Views:	5
Size:	48.5 کلوبائٹ
ID:	12511006

اب آن لائن

Working...
X