How to avoid trap and fake pump

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to avoid trap and fake pump
    Asslamualikum dosto forex market main trading kartay huway yeh aik bahut he important topic hai jis pay ham aaj discuss karnay walay hain, jab traders market main chart pay analysis kartay huway us wakt entry laita hai jab market reversal start karnay wali hoty hai to achanak uski trade us wakt trap main aty hain jab wo market ki top support ya resisatnce levels k kareeb hoty hai. Traders ki is say barrh kar aur kia badkismaty ho sakty hai jab wo trading k douraan apni trades ko traps main daikhta hai cut aur big losses k ilawa us wakt traders k pass aur koi bhi aisa option nai hota hai jo uski trades say chutkara hasil kar sakay.Trap forex market main traders k liye tab banta hai jab traders market main price pay us time trades ko pick kartay hai jab price temporary kisi support ya resistance level ko break ya touch karty hai, asal main price ka trend reversal k liye start ho chuka hota hai jabk traders yeh samjhtay huway market main wrong entry laitay hain k abhi trends continue hai jiski wjaha say market main false signals ko follow kartay huway traders ki trades traps main entr ho chukki hoty hai aur sath he price apnay reversal k liye start ho jaty hai aur trends ko change karna start kar daity hai.


    Trap Sa Bachan Ka Traika:

    Dosto kuch aisay methods ka use kartay hauway ham is problem ka solution nikaal saktay hain aur in traps say bach kar trading losses say save reh saktay hain. Forex trading traps ko identify aur is say save rehnay k liye hamain market ki overbought aur oversold positions ko smajhna bahut ziada lazmi hota hai usk liye traders charts pay relative strength index (RSI) indicator ka use kartay huway price ko recognize kar saktay hain aur is ko clear kar saktay hain k kisi support ya resistance level k breakout k baad price agar overbought ho chukki hai to hamain trading say avoid aur wait sab say better hai qk overbought market main hamari trades kisi bhi time price reversal say traps main entr ho skaty hai is liye is problem k solution k liye yahi sab say ziada better

    How To Avoid fake Pump:

    Dosot forex trading main price tab he traders ko traps main envolve karty hai jab price nay apnay trend ko change karna hota hai, is liye mairay experience k hisaab say traders is say avoid karnay liye agar kuch aisay steps ko follow kartay hain to aisi situations say save rehtay huway market k big losses say bach kar achi trading ko possible banaya ja sakta hai jo k chand aik darj zail hain:

    1. Set a large stop-loss position.
    2. You need to trade the retracement.
    3. You need to do trading in the direction of the main trend.

    Trading trap say bachnay ka koi bhi aik khaas tareeka nai hai sirf in pay amal kartay huway agar ham trading kartay hain to aisi surtehaal say bacha ja sakta hai.

اب آن لائن

Working...
X