Upside Tasuki Gap Pattern
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Upside Tasuki Gap Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Upside Tasuki Gap Pattern


    Upside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil aik mazbot trend continuation pattern hai, jo k prices k high level ya bullish trend main banta hai. Pattern k pehle do candles jo k bullish candles hotti hai, k darmeyan main upside par gap banta hai, jiss se pattern ki mazboti main mazzeed izzafa ho jata hai. Dosri bullish candle k baad aik bearish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bearish candle dosree bullish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Ye pattern market k bullish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi upper level par jane ki koshash karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1240).png
Views:	25
Size:	9.3 کلوبائٹ
ID:	12510788

    Candles Formation


    Upside Tasuki gap candlestick pattern teen candles ka aik bullish continuation pattern hai, jis main pehle do candles white ya green color k yanni bullish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle black ya red color ki yanni bearish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (460).jpeg
Views:	23
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12510789

    1. First Candle: Upside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bullish candle hotti hai, jo k white ya green color main banti hai, ye candle normal bullish size ki candle hoti hai, jo k bullish trend ko show kar rahi hoti hai.

    2. Second Candle: Upside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main upside par banti hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye.

    3. Third Candle: Upside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik black ya red ki candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bearish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye black candle bearish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai.

    Explaination

    Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai. Upside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bullish trend continuation ka kaam karta hai. Ye pattern bullish trend ya haleya bearish ya sideways trend se bullish breakout k baad banta hai. Upside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bullish candles hoti hai, jin k darmeyan upside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jiss ka open bullish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1239).png
Views:	13
Size:	3.6 کلوبائٹ
ID:	12510790

    Trading

    Upside Tasuki gap candlestick pattern aapko market main buy ka signal faraham karta hai, ye pattern dosre trend reversal pattern se ziadda reliable hota hai, jab k candles k darmeyan banne wala gap bullish trend continuation pattern ka signal hotta hai. Upside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye.
    Pattern ki bearish candle k baad confirmation k leye aik bullish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bullish candle pat market main buy ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss pattern k sab se lower side ya pehli candle k open position par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1241).png
Views:	13
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12510787

اب آن لائن

Working...
X