High Price Gapping Play Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    High Price Gapping Play Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    High Price Gapping Play Pattern


    High price gapping play pattern, price chart par prices k uptrend main continuation k leye jana jata hai, jo k high prices ya bullish trend k baad banta hai. High price gapping play pattern panch candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo aik long real body main banti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish aur bearish mixup candles hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hoti hai. Ye teeno candles pehli candle k open aur close price se bahir nahi nekate hen. Teeno small candles prices ko waqti tawar par mazeed bullish jane main rukawat dalti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali bullish candle hoti hai, jo aik to ye small candles se top main banti hai aur dosra ye prices ko sabeqa trend yanni bullish trend main continue karwati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (455).jpeg
Views:	1
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12510745

    Candles Formation


    High price gapping play pattern trend bullish continuation pattern ki waja se prices k uptrend ya newly bullish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (456).jpeg
Views:	4
Size:	11.6 کلوبائٹ
ID:	12510746

    1. First Candle: High price gapping play pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hone chaheye. Ye candle bullish trend ki alamat hoti hai, jo k white ya green color main banti hai.

    2. Second Candle: High price gapping play pattern ki dosri candle aik small bullish ya bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main top par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.

    3. Third Candle: High price gapping play pattern ki teesri candle bhi aik real body wali small candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah bullish ya bearish color main hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai. Agar dosri small candle bullish banti hai to ye candle bearish hoti hai.

    4. Fourth Candle: High price gapping play pattern ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bearish ya bullish candle hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad nechay banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri candles ki tarah pehli candle k andar hota hai. Ye candle ziada tar dosri candle ki color se mushabehat rakhti hai.

    5. Fifth Candle: High price gapping play pattern ki last candle bullish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel aur open forth candle k baad thora sa above gap main banti hai, jo k long real body k sath upper side par ja kar close hoti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k bullish trend continuation ka kaam karti hai.

    Explaination

    High price gapping play pattern main dekhne main same "Mat-hold pattern" ya bearish trend par banne wala "Bullish Three Line Strike Pattern" se melta julta pattern hai, jo k uptrend k leye istemal hota hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k uptrend ki alamat hoti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish aur bearish mixup candles hoti hai, jo k open aur close pehli candle k andar hoti hai. Ye small candles prices ko temporary tawar par bullish jane se rokti hai, jiss se prices k dowran waqti tawar par pause a jata hai. Lekin baad main small candles se above gap main aik bari real body wali bullish candle banti hai jo k prices ko uptrend main continue karwati hai.

    Click image for larger version

Name:	E2igO9pWUAEiNSa.jpg
Views:	2
Size:	50.5 کلوبائٹ
ID:	12510747

    Trading

    High price gapping play pattern candles k upward trend main aik pause create kati hai, jiss k baad prices wapis apni sabeqa trend par chal parti hai. Ye pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k baad wali teen candles small real body wali mix candles hoti hai, Bearish candles dar asal market main analyst ki prices k bare main agli faisala ka time hota hai, k aya prices ne upward jani hai, k nahi, lekin last par aik long bullish candle k banne se ye wapis pane porane trend par chal parta hai. Pattern par trades open karne se pehle aik agli bullish candle ka intezar zaror karen jo k buy k entry k leye hona chaheye. Stop Loss pattern k lower side ya pehli bullish candle k open price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (457).jpeg
Views:	2
Size:	34.1 کلوبائٹ
ID:	12510744

اب آن لائن

Working...
X