Frying Pan Bottom Pattern
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Frying Pan Bottom Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Frying Pan Bottom Pattern


    Frying Pan Bottom Pattern prices k bottom par buyers k market mian strong control zahir karta hai. Ye pattern bearish trend ki kamzori aur baad main ussi k bullish trend reversal ko zahir karti hai. Frying Pan Bottom Pattern panch (ya uss se ziada) candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle prices k downward side ki teezi ko zahir karti hai. Pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, lekin ye aik small real body wali candle hoti hai, jo k pehli candle k se below banti hai. Pattern ki dosri aur teesri candles small real body wali bullish candles hoti hai, jo open aur close same dosri small bullish candle k sath bottom par hoti hai. Pattern ki akhari candle bhi aik bullish hoti hai, lekin ye candle aik long real body aur above gap main banti hai, jo k small candles ki nisbat ziada high par close hoti hai. Ye pattern lower side par taqreeban aik round shap banata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (399).jpeg
Views:	4
Size:	22.8 کلوبائٹ
ID:	12508002

    Candles Formation


    Frying Pan Bottom Pattern prices k bottom par banne wala panch candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo bullish aur bearish candles ka majmoa hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1085).png
Views:	13
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12508003

    1. First Candle: Frying Pan Bottom Pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle long real body main banti hai, jo k black ya red color main hoti hai.

    2. Second Candle: Frying Pan Bottom Pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k bottom par banti hai. Ye candle prices k ziada teezi ko mazeed nechay jane se rok leti hai.

    3. Third Candle: Frying Pan Bottom Pattern ki teesri candle aik bullish small real body wali candle hoti hai, jo k ziada tar ye candle dosri candle k bottom par banti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k prices k trend ko tabdeel kar deti hai.

    4. Fourth Candle: Frying Pan Bottom Pattern ki chothi candle same small bullish candle hoti hai, jo k ziada tar dosri bearish candle k parallel banti hai. Ye small candle market main buyers ki dilchaspi barhati hai.

    5. Fifth Candle: Frying Pan Bottom Pattern ki akahri candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle teeno small real body wali candles k above par gap main open ho kar upper ja kar close hoti hai. Ye candle taqreeban pehli bearish candle k parallel main ya uss se above banti hai, jo k white ya green color main hoti hai.

    Explaination

    Financial market Frying Pan Bottom Pattern sellers k bohut ziada nechay position trading main adam dilchaspi ki waja se banta hai. Ye pattern panch candles ka hota hai, jiss main pehli candle aik bari real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad teen small black and white candles banti hai, jo k prices ko waqti tawar par mazeed lower jane se rokti hai. Ye candles real body main small hoti hai, jo k ziada tar pehli bearish aur akhari bullish candle k bottom par banti hai, lekin lower side par candles k darmeyan main gap nahi banta hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle chothi small bullish candle se bottom side par gap main banti hai, jo k prices par teezi se asar andaz hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (401).jpeg
Views:	9
Size:	11.1 کلوبائٹ
ID:	12508004

    Trading

    Frying Pan Bottom Pattern main small real body wali candles k dowran traders market se waqfa karte hen, jiss k baad buyers market main ziada active ho jate hen, jo aksar prices k trend reversal ka sabab banti hai. Frying Pan Bottom Pattern main pehli aur akhari candle aik dosre k parallel main bante hen, lekin aik to in ki direction opposite hoti hai aur dosra pattern ki last bullish candle upper side par gap main banti hai. Small teeno candles dono long real body wali candles k bottom par hoti hai, jo k prices k leye support level sabit hoti hai. Pattern par trading karne k leye aik bullish trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main upper par close hoti hai. Stochastic oscillator aur CCI oscillator par prices ka oversold zone hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower bottom par ya teesri candle k low price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (400).jpeg
Views:	1
Size:	41.0 کلوبائٹ
ID:	12508001

اب آن لائن

Working...
X