Bullish Meeting Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Meeting Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Meeting Line Candlestick Pattern


    Bullish meeting line pattern dark cloud cover candlestick pattern ki tarah aik bullish trend reversal pattern hai jiss main aik candle apne se pehle din ki candle par lower side se gap main open ho kar attack karti hai, jiss k nateejay main bearish trend ka khatma ho jata hai, iss waja se iss pattern ko bullish counterattack pattern kaha jata hai. Ye pattern bearish trend ya bottom of the price main banta hai, jo k two days candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices main bearish trend ki trend ki akasi karti hai, jab k dosre din ki candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se below gap main open ho kar ussi k same close par close hoti hai.

    Candles Formation


    Bullish meeting line pattern trend reversal pattern honne ki waja se prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jiss se prices apne trend ko badalne main majboor ho jati hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    1. First Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle honi chahie, jo k bearish trend ya low prices ko zahir karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k bottom par open ho kar ussi k close point par same ye bhi close hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai.

    Explaination

    Bullish meeting line pattern market main sellers ki prices k bottom par push karne k baad uss ki dilchaspi khatam hone k baad market main banta hai. Ye pattern dekhne main same "Belt-Hold Line Pattern" jaisa dekhta hai, lekin dosri candle k bottom par wick ya small shadow hone aur dono candles k close point same hone ki waja se uss se mukhtalif hota hai. Pattern do candle par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish trend wali candle hoti hai, jo pehli candle k bottom par open ho kar ussi k close point par close hoti hai. Pattern ki dono candles k closing point same lazmi hone chaheye, warna pattern ki formation mukhtalif ho sakta hai.

    Trading

    Bullish meeting line pattern ki dosri candle k baad market main buyers active ho jate hen, q k ye aik bullish signal de rahi hoti hai. Pattern k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k long real body main pehli candle k real body main close ho jaye. Agar indicator se confirmation karna ho to Stochastics Oscillator aur CCI oscillator oversold area main hona chaheye. Pattern k baad agar black ya red candle banti hai to iss se ye pattern invalid ho jayega. Stop Loss pattern k sab se bottom position jo k dosri candle ka open ya low price ho sakta hai, se two pips below set karen.

اب آن لائن

Working...
X