Money Management and Risk Management in trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Money Management and Risk Management in trading
    Risk Management in Forex Trading

    Forex market main trading ky liay jab ham kuch amount invest kar lete hain tab trade open kerna same amount per bohat bara risk hota hai ky market ki movement ki waja sy hamara account minton main wash ho sakta hai tou same amount ko secure rakh ker forex market main trade continue kerna hi asal main risk management hai ky agar ham kisi pair main trade open kerny ja rehy hain tou hamain sab sy pehly aesa apny balance ky mutabiq trading ky liay pair choose karna chahiay then hamain minimum lot sy trade open kerni chahiay lekin is sy pehly market ka current trend zarur check kar lena chahiay aur trend ko follow kerty huey trade open kerain then her open ki jany wali trade main take profit aur stop loss zarur set kerain warna stop loss na hony ki waja sy bara loss ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	rskmgt.jpg
Views:	12
Size:	134.2 کلوبائٹ
ID:	12507273

    Money Management in Forex Trading

    Forex market main invest ki jany wali amount ko jab tak ham secure ker ky use nahi karain gy ham long time ky liay market main survive nahi kar sakty jabky agar ham market main big amount invest kerty hain tou usko secure ker ka use karna asan hota hai lekin agar ham small amount invest ker ky trade continue kerty hain tou hamein money management ker ky trade continue karni hoti hai jo her open ki jany wali trade main lot ki selection aur profit ky target sy related hoti hai jab apne balance ko secure rakhna hi money management hai ky jab trading k liye acha chance nazar aa raha ho tab trade open karni chahiye ky agar hum her waqt trade continue kerty hain tou loss ky chances increase ho jaty hain lekin balance ko secure rakhny aur increase kerny ky liay hamain trading ka best chance find ker ky trade open aur continue karni hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	mnymgt.jpg
Views:	4
Size:	42.2 کلوبائٹ
ID:	12507274

    Position sizing

    Position sizing ka matlab hai ki aap ek trade ke upar apne capital ka kitna risk lete hain.For example Agar aapke pass 10 hazar dollar hai to aap uska 1 ya 2 percent per trade risk Le sakte hain 10,000 ka 2% ka matlab hai ki 200 per trade aap risk Ly sakte hain. lekin agar aap kisi trade mein jyada confident hai ki aapka chances bahut jyada hai to aap apne risko thora Barha bi sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	IMG-20211115-WA0023.jpg
Views:	2
Size:	60.0 کلوبائٹ
ID:	12507275

    Roll of Money Management and Risk Management


    Dear trading mein money management or risk management dono bahut jyada important cheez hoti Hain kyon ki Jab bhi Koi trade lagai jaati Hai To sabse pahle lot size select ki jati hai jo ki aapki money management ke hisab se hoti Hai Aur iske bad aap ki trade ka stop loss aur take profit aapke risk management ke hisab se hota hai ki aapne market mein loss kitna bardasht karenge aur market mein es trade sy profit kitna lena hai. Dear agar aap market mein apne trade money management aur risk management ke sath karenge to aapka account bahut jyada safe hoga kabhi bhi wash nahin hoga. Ham dekhte hain ki sometime market ki movement fast Ho jaati Hai jiski wajah se hamari trade agar money management aur stop loss ke sath lagi Hui hogi To Ham jyada nuksan bach sakte hain. Fundamental effect se bachne ke liye apni trade ke sath stop loss zaror lagaen Jo trade abhi planning ke sath is market mein kam karte hain wohi kamyab hote Hai.

اب آن لائن

Working...
X