Three Inside Up Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Three Inside Up Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Three Inside Up Candlestick Pattern


    Jab bhi kiai assets ki prices bohut low level par a jati hai, to uss waqat aksar prices bullish trend reversal jane ki koshash main hoti hai, jiss k leye prices ko aik candlestick pattern aisa chaheye hota hai, jiss se prices k pehle se humen trend reversal ki indication mel jati hai. Three Inside up candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottoms ya bearish trend k baab banta hai, jiss par ziada tar prices apne trend ko badal deti hai. Pattern k aghaz k do candles aik bullish harami pattern jaise hote hen, lekin baad main aik bari real body wali bullish candle banti hai, jo k pehle do candles k top par close hoti hai, jo k bullish trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220220_185109.png
Views:	1
Size:	21.2 کلوبائٹ
ID:	12507263

    Candles Formation


    Three inside up candlestick pattern prices k bottom par bullish trend reversal ka zarya hota hai, jo k theen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k baad wali do candles bullish candles banti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (929).png
Views:	11
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12507264

    1. First Candle: Three inside up candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k market main pehle se a rahe bearish trend ko show kar rahe hote hen. Ye candle aik long real body main hoti hai, jo k color main black ya red candle banti hai.

    2. Second Candle: Three inside up candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle bantti hai, no k length main pehli candle se kam hoti hai, q k ye candle pehli candle k real body main banti hai. Ye candle prices k mazeed nachay jane se rokne ka sabab banti hai. Ye candle color main white ya green banti hai.

    3. Third Candle: Three inside up candlestick pattern ki last aur teesri candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k dosri candle se length main ziada hoti hai. Ye candle dosri candle k baad upside par open ho kar pehli aur dosri candle k top par close hoti hai. Ye candle bhi same dosri candle ki tarah color main white ya green hoti hai, jo bullish trend reversal pattern ka sabab banti hai.

    Explaination

    Three inside up candlestick pattern k pehle do candles dekhne main bullish harami pattern jaise hote hen, jab k teesi candle aik bullish confirmation candle hoti hai, jo k pehle dono candles k top par ja k close hoti hen. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik small real body main bullish candle banti hai, jiss ka open aur clise dono pehli candle k andar hota hai. Pattern ki last aur teesri candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k baad high par open ho kar pehli aur dosri candle k top par ja k close hoti hai . Ye candle prices ko upward ki taraf push karti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220220_184859.jpg
Views:	1
Size:	83.9 کلوبائٹ
ID:	12507266Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220220_184859.jpg
Views:	1
Size:	83.9 کلوبائٹ
ID:	12507266

    Trading

    Three inside up candlestick pattern sellers ki market main bohut ziada selling pressure k baad prices k bottom main banta hai. Pattern ki pehli candle k mutabiq sellers prices ko mazeed bearish push karne ki koshash karte hen, lekin dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hote hen. Ye candle prices ko mazeed downtrend jane se rokte hen, jiss k baad aik bari real body wali bullish candle banti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern k teesri candle k baad market main buy ki entry ki ja saktj hai aur ye candle pehli aur dosri candle k top par close hoti hai to. Pattern ka long term timeframe main hona chaheye, jab k Stochastics aur CCI oscillators oversold area main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se low position ya pehli candle k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220220_184832.jpg
Views:	1
Size:	83.8 کلوبائٹ
ID:	12507265

اب آن لائن

Working...
X