Bearish Flag Chart Pattern
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Flag Chart Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Flag Pattern


    Bearish Flag chart pattern aik bearish continuation pattern hai, jiss main flag do (two) mutawazi bearish lines se bantta hai, jo aik mustateel banate hen. Ye trend k mukhalif semmat par bantta hai, jiss ko aam tawar par "consolidation" kaha jatta hai. Bearish channel ki nisbat ye mustateel bohut kam waqfay ka hotta hai, jiss main ferokht kunanda trading k dowran kuch sans lene k leye ruk jatte hen.
    Bearish flag ki formation bearish trend main hotti hai, qeematon main honne wala waqqfa trend k taqreeban darmeyyan main bantta hai.
    Taqreeban 37% bearish flag pattern main prices pattern k bottom k nechay par exit hotti hai. Ye pattern taqreeban 90% tak continuation pattern ka kaam kartta hai. Chonkeh ye aik bearish trend main istemal hotta hai, jiss main taqreeban 62% tak ye pattern apnne target hasil kar jatta hai. Taqreeban 10% tak ye pattern trend reversal ka kaam kartta hai. Taqreeban 76% bearish flag annually pattern lower range main bantta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (903).png
Views:	1
Size:	3.5 کلوبائٹ
ID:	12507171

    Important Information of Bearish Flag Pattern


    Bearish flag pattern se pehle qeematen jitnni teezi k sath lower jatti hai, pattern banne k baad bhi prices bohut teezi se bearish jatti hai. Flag ki karkardaggi uss waqat kam hotti hai, jab ye trend ki semmat main bantti ho. Tang (narrow) lines par mushtamil flag pattern uss flag pattern se ziadda qabele bharossa hotta hai, jiss ki lines wasee (broad) hon. Aggar koi false breaks nahi bantti hai to flag ziadda strong hotti hai. Pullback flag pattern k leye nuqsandeh hai.

    Click image for larger version

Name:	images (904).png
Views:	3
Size:	3.8 کلوبائٹ
ID:	12507172

    Explanation

    Bearish flag pattern do hiso par mushtamil hotta hai, jiss main pehla hissa flag ka dhanda hotta hai, jab k dosrra hissa flag hotta hai. Flag ka dhanda bearish trend candles par mushtamil hotti hai, jo bohut teezi k sath lower ki taraf jatti hai, jab k flag mustateel shakal main bantta hai, jiss main candles small size main bantti hai, aur ye aik tarrah se channel trend lines ki tarrah hotta hai. Ye hissa buyers k waqfay ka hissa hotta hai, jiss main qeematen sideways harkat kartti hai. Flag hissey main traders ye deside karnne ki koshash kartte hen, k prices k mazzeed bearish janne chaheye ya wapis reversal honna chaheye. Lekin pattern k baad qeematen continuation par hi chal partti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (905).png
Views:	1
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12507173

    Trading

    Bearish flag pattern par do tarrah se trading ki jatti hai, aik rewayatti strategy se aur dossra aggressive ya bagher trend confirmation k tareeqay kar k mutabiq se.
    Rewayati trader entry karnne se pehle pattern ko complete honne k baad pattern k top par sell ki entry karen, highest hise par stop loss put karen. Take profit ka andazza pattern k hight k mutabiq set karen, ye aik strong trend continuation trend ki mazzboti hai.
    Aggressive traders ko flag k last par sell ki entry karnni chaheye aur stop loss ko flag k top hissey par set karnna chaheye. Take profit flag k lower par set karnna chaheye aur take profit 2 ko flag k double k barabar laggana chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (902).png
Views:	1
Size:	4.2 کلوبائٹ
ID:	12507170

اب آن لائن

Working...
X