Price chart par Fullback aur Reversal par aik short note...
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Price chart par Fullback aur Reversal par aik short note...
    Pullback Chart Pattern


    Pullback haleya peaks se stocks ya ashya k qeematon k chart me gerawat ka aik waqfa hota hai, jo k continuation up-trend me paya jata hai. Financial market charts pattern me pullback qeematon k aarzi (temporary) reversal pattern hote hen. Pullback ki mudat (peroid) chand lagatar ya musalsal sessions par mushtamil hoti hai. Ye retracement​ ya consolidation se bohut melta julta hai, aur aksar is k rules aik dosre k leye istemal keye ja sakte hen.
    Pullback ziada tar us waqat dekha ja sakta hai, jab bhi stocks ki bare pemane pe khareedari ki jati hai. Bohut ziada khareedari (buying) ki waja se qeematen bohut teezi k sath upward chali jati hai, lekin baad me buyers ki teezi kam hone ki waja se qeematen kuch waqat k leye nechay a jati hai, jis se buyers fobara faida hasil karte hen aur market me khareedari ka amal hota hai. Pullback k baad qeematen upward to jati hai, lekin is ki teezi pehle jaise nahi rehti.
    Ziada tar pullback uptrend ko dobara shoro karne se pehle qeematen technical support area; jaise moving average ya pivot point me chali jati hai. Traders ko in support levels ko bare ahteyat k sath dekhna chaheye, q k breakdown ki sorat me qeematen reversal trend pe move kar sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (880).png
Views:	16
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12507078

    Reversal Trend



    Reversal trend aik waqate maqarara k dowran qeemat ka rukh tabdeel honi ka signal de raha hota hai. Reversal ka matlab hai trend k "semat ki tabdeeli ". Isi tarah reversal trend me chart ki mukhtalif shaklen hen jo market ki maojoda trend k semat me tabdeeli ki nishan-dahi karti hai. Ye patterns hourly, daily, weekly ya monthly charts pe dekhen ja sakte hen. Technical patterns tamam time frame pe lago hote hen.
    Reversal Patterns kisi bhi semat me ho sakti hai, yani uper se nechay (bearish ya downward) aur nechay se uper (bullish ya upward). Patterns dono soraton me chart par aik khas shakal ikhteyar kar lete hen, jis se traders k kamyab hone ka imkan zyada hota hai.
    Reversal patterns banne me waqat lagta hai, jaisa k aam tawar natural reversal cheezon ka hota hai. Trend jab bhi aik khas semat me chal raha hota hai, to is k rukne ya wapis ane me waqat zaror lagta hai. Traders ko market me pehle se chal rahe trend k kam se kam qeemat ko bhi dekhna chaheye aur ziada se ziada qeematon ko bhi. Kam se kam qeemat market k bearish qeematon k leye aur ziada se ziada market k top qeematon ko samajhne k leye.
    Traders ko hamesha market me khareed-wa-ferokht chart pattern ki karkardagi ki bunyad pe karna chaheye, jab k security se jazbati tawar par munsalik hone se ijtenab karna chaheye.
    Market me aam tawar par wajood me ane wale kuch reversal patterns me head and shoulders pattern, inverted head and shoulders pattern, double bottom pattern, double top pattern, basing formations aur broadening formations waghera shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images (877).png
Views:	1
Size:	31.5 کلوبائٹ
ID:	12507076

    Pullback aur Reversal me Faraq


    Pullback market ki qeematon k bullish area se kuch waqat (temporary) wapasi hai, jo kuch lamhe k baad wapis up-trend pe chalna shoro karti hai. Jab k is k bar-aks reversal trend me qeematen mukamal taear par apna rukh bandalti hai. Reversal beariah aur bullish dono ho sakta hai, jab k pullback me bullish trend kuch lamhe k leye beariah ata hai aur wapis bullish trend pe continue move shoro kar jata hai.
    Reversal me qeematen breakout ya breakdown karte hen, jab k pullback me qeematen aik chote se pause k baad sabeqa bullish trend k tasalsul ko follow karte hen. Reversal me qeematen pivot point, moving averages point ya fabonacci retracement point ko breakdown karte hen, jab pullback me qeematen in area ko as a support level istemal karte hen aur breakdown karne ki koshash nahi karte.

اب آن لائن

Working...
X