Bullish Kicking Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Kicking Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Kicking Pattern


    Financial market main baaz dafa prices bohut teezi k sath downward trend par movement kar rahi hoti hai, jiss se price chart par ziada selling ki waja se marubozu bearish candle candle banti hai, lekin agle din market main buyers ki strong wapasi ki waja se bearish candle se above gap main aik marubozu bullish candle banti hai, jo k aik to bearish trend ka khatma karti hai, aur dosra ye bullish trend reversal candle hoti hai. Bullish aur bearish ka ye two days candlestick pattern "Bullish Kicking Pattern" kehlata hai, jo k market k bottom par ya bearish trend k baad banta hai. Pattern ki pehli candle prices k downward jane ki indication hoti hai, jab k dosre candle se uss ki direction main tabdeeli ki alamat hoti hai.

    Candles Formation


    Bullish kicking pattern two days candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo bearish trend main banne ki waja se pattern ki pehli candle bearish aur dosri trend reversal wali candle bullish hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    1. First Candle: Bullish kicking pattern ki pehli candle sabeqa trend k mutabiq bearish honi chaheye, q k ye bullish trend reversal pattern hai, iss waja se ye prices k bottom par ya bearish trend main banta hai. Pattern ki pehli candle ka color black ya red hota hai. Ye candle ziada tar marubozu black candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish kicking pattern ki dosri candle aik trend reversal candle hoti hai, iss waja se ye candle aik bullish candle banti hai. Ye candle aik bullish marubozu candle hoti hai, jiss ka dono sides par koi shadow nahi hota hai. Ye candle trend reversal ki asal waja hoti hai, jo k white ya green color main hoti hai.

    Explaination

    Bullish kicking pattern prices k top par aik strong bearish trend k baad banta hai, jis se buyers market main strong bullish trend reversal pattern se wapasi karte hen. Pattern bearish trend ya low prices main aik marubozu black candle k baad aik upside gap main marubozu white candle k banne se amal main ata hai. Bullish kicking pattern two days candles par mushtamil hota hai, jis ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss k baad aik long aur real body wali bullish candle above gap main banti hai. Pattern ki dono candles ka upper aur lower side par shadow nahi hona chaheye, q k ye formate main bohut strong candles banti hai. Bullish strong Marubozu candle aur gap main banni ki waja se prices trend reversal main badal jati hai.

    Trading

    Bullish kicking pattern bearish trend main banne wala aik strong magar nayab bullish trend reversal pattern hai. Jiss main sellers prices ko to downtrend le kar jate hen, lekin agle din buyers market par control hasil karte hen, jiss se na sirf aik marubozu white banate hen, bulkeh sath hi sath ye candle above gap main banti hai. Pattern par trading se pehle market main bullish confirmation candle ka intezar zaror karen. Jab bhi ye candle aik real body wali bullish candle ban jaye to uss waqat market main buy ki entry karen. Stop Loss pattern k sab se bottom position par jo bearish trend ki last bearish candle hoti hai, k bottom se two pips below set karen.

اب آن لائن

Working...
X