What is the Different between supply and demand zones....?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is the Different between supply and demand zones....?
    market main successful Trading karny k liye ap ko apni learning ko perfect bnany k sath sath apny experience ko b strong karna hota hai. Agr ap market main successful Trading karna chahty hain to ap ko Trading ka Experience hona chahye, aj mai aap ko supply our demand ki kuch information dena chahti hun jis ko ap samjh kar Trading main successful ho sakty hain.

    SUPPLY:

    Dear Supply wo miqdaar ya tadaad hai jo market main kisi currency ya commodity's ke jo market main mojood hoti hai, Agar kise currency ke supply market main zaida hoti hai to us currency ke value main kami waqia hoti hai. Aur esi kay agar kise currency ke supply main kami aay to us ke value main izzaffa hota hai. Log zaida tar wo cheezay khareedty hain ya un cheezon main invest karty hain jinke supply km hoti hai kun kay un ke value main musalsal izafa dekhny ko milta hai, Jesa kay aap Gold aur normal pathar ka andaza laga lain. Gold ke supply km hai to aapko bahut mehnga milta hain lekin normal pathar aapko har jagha sy milty hain to wo free hain ya bahut sasty hain. Aisy hi forex market mai jis currency ki demand zayda hoti hai wo high rate par milti hai jis ki supply ziada hota hai wo kam rate par milti hain.

    DEMAND:

    Dear forex trading market mai demand jis ka matlab hay kay market main kise bhe assets ke kitne requirement hoti hain, Jab market main kisi currency ka demand main izafaa hota hai to es key value bhe zaida ho jaaty hai aur esi tarha jab kisi currency ky demand main kami aati hay, to ess ke value main bhi kami ho jaati hai, hum aisy market mai jab ye dekhtai hai k market mai es chez ki demand ziada honay wali hai wo chez hum le lety hain ta k us ki value ziada ho to humy profit ho jata hain.

    DIFFERENCE BETWEEN SUPPLY AND DEMAND:




    Forex trading market mai work karty hoye humain Demand aur supply ka pata hona chahye. Jab market main demand zaida aur supply km hoti hai to demand supply competition ke wajha sy price main izafa hota hai. Jab market main supply zaida aur demand km hoti jaye to es soorat main market ki value main kami ajati hain.

    EQUILIBRIUM:

    Forex trading market main demand aur supply dono Same hon, yani kay demand jitny ho utny he supply ho, to market ki value na to km hoti hai ,naa zaida hoti hai. jo log market mai supply zone par Sell ki trade lagaty hai ya Demand zone par Buy ki trade lagaty hai wo Maximum profit hasil karty hain.

اب آن لائن

Working...
X