Forex Trading me "Hammer Candlestick Pattern" par trading ka tareeqay kar

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me "Hammer Candlestick Pattern" par trading ka tareeqay kar
    Hammer Candle


    Introduction

    Hammer aik trend reversal candlestick pattern hai, jo umoman prices ko uptrend main badalta hai, aur ye prices k bottom par ya bearish trend k baad paya jata hai. Hammer candle aik strong bullish trend reversal candle hai. Candle ki real body bohut small hoti hai, jo k umoman candle ki shadow k muqabele main adhi hoti hai, yani shadow bohut ziada lengthi hota hai. Ye candle upper side par shadow nahi rakhti hai, lekin bohut small si wick mumkin hai, jo k candle ki formation par ziada asar andaz nahi hoti hai. Hammer candle ki real body ka open aur close same nahi hona chaheye, take ye candle dekhne main dragonfly doji candle s3 mukhtalif dekhaye den.

    Click image for larger version

Name:	images (833).png
Views:	21
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12506899

    Candle ki Pehchan k Rules
    1. Hammer candle k leye prices ka lower, bottom ya bearish trend hona zarori hai.
    2. Candle ki real body small honi chaheye, jis ka open aur close same nahi hona chaheye.
    3. Candle k lower side par aik long shadow honi chaheye.
    4. Candle ki shadow real body k muqabele main double size main hota hai.
    5. Candle ki real body black ya white dono ho sakti hai, lekin agar green ho to ziada behtar hai.


    Click image for larger version

Name:	images (834).png
Views:	11
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12506900

    Pattern ki Tafseel


    Hammer candle single pattern candle hai, jiss ka lower side par aik long real body hoti hai, jab k candle ki real body shadow k muqabele main bohut small hoti hai. Candle ki real body ka open aur close same price par nahi hona chaheye, jab k real body kisi bhi color main ho sakti hai, lekinagar ye candle lower prices par bullish banti hai to ye pattern se ziada mushabehat rakhti hai. Candle ka upper side par shadow nahi hona chaheye, lekin chota sa small wick acceptable hai. Hammer candle ki volume aksar pechle do candles se ziada hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (836).png
Views:	19
Size:	9.4 کلوبائٹ
ID:	12506901

    Pattern par Trading


    Hammer candle k prices k bottom par buyers aur sellers k psychology ki waja se banti hai. Jab bhi sellers prices ko bearish push karti hai, lekin usi time buyers bhi market main active ho kar prices ko mazeed nechay nahi jane deti haito us waqat ye candle banti hai. Prices ka bottom hone ki waja se prices trend reversal main badal jati hai. Prices aik small real body wali candle hoti hai, jis ka lower side par aik long real body hoti hai, jab k stop loss pattern k lower side par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (835).png
Views:	1
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12506898

اب آن لائن

Working...
X