Market Sawoon say kya murad hea

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market Sawoon say kya murad hea
    Forex main trading karna kabhi bhi asan nai hay aur is liye hamain is main trading karna bahut difficult lagta hay. Jab ham market main trading karty hain to hamain baz dafa aisi worst market situations ka samna karna hota hay jiski hamain bilkal tawaqu nai hoti aur is waja say market bahut negative situations main musalsal jati rehti hay.

    Click image for larger version

Name:	images (20).jpeg
Views:	1
Size:	32.5 کلوبائٹ
ID:	12504466

    Market swoon.

    Market main jab bhi aik aisi breaking news ya bad kisam kay halat banty hain jo government to general public sab ko mutasar karty hain to aisi situations aur halat main market bahut bury halat main a jati hay. Aisi situations ko market swoon kehty hain. Market swoon ka asar sirf aik he pair ya security per nai parta balkeh iska asar tamam forex market per parta hay aur tamam pairs bahut nichy a jaty hain. Recently ager daikha jaye to latest aisi situation corona virus ki waja say samny ai jab ham nay daikha keh sab log mutasar huye aur sab kuch mandi ka shikar hua aur forex market bhi bahut down ai. Jab keh US dollar ko jab strength mili to isky sath tamam pairs bahut down aye.

    Click image for larger version

Name:	images (19).jpeg
Views:	1
Size:	45.9 کلوبائٹ
ID:	12504467

    Precautions in market swoon situations.

    Market swoon ki waja say sary sectors and businesses mandi ka shikar hoty hain is liye aisi situations main trading bhi mutasar hoti hay. Lehaza aisi situations main sab say behter yehi hota hay keh trading activities ko rok dia jaye aur market ki recovery ka wait karna chahiye. Q keh market yahan per itny jaldi nai sanbhalti aur bar bar musalsal worst conditions main jati rehti hay.

    When it occures

    Market swoon aksar us waqat hota hai jab market me bohut ziada interruption peda hoti hai aur is me market k value me bohut ziada tabdeelian peda hoti hai. Aur aksar awqat ye masla us waqat ata hai jab koi siasi ya economy tabdeeli peda hoti hai. Aksar awqat jab mulkme koi achnak koi masla peda hota hai is waja se sarmaya kar apna sarmaya ya to rokh lete hen aur market me jaldi jaldi bejh dete hen jis se qeematen yakdam ger jati hai. Aksar awqat ye masla hamare mulk me india se border pe koi bara masla pesh ajaye to hamara stoxk exchange ger jata hai. Market swoon aghaz tawar par nahi hota bulke ye dramaye tawar par achanak hota hai aur ye kisi k waham wa guman me nahi hota hai lekin hota bohut achanak hi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (18).jpeg
Views:	1
Size:	69.5 کلوبائٹ
ID:	12504469

    Always pre planned

    Market swoon pairs ki prices ko ma kami zahir karti hain aur ye us waqt tk thek nhi hoti jb tk investors ka confidence bahaal na jay, lihaza traders ko aisi situation k liay pre-planning bnani chaiay ta k is tarah ki moments ma apni trades ko timely tackle kia ja sakay aur pairs ya commodity k dobara normal trading range ma anay ka wait karna chaiay, ta k loss sa bacha ja sakay, investors ko apna confidence restore karnay k liay anaylisis kartay rehna chaiay aur trading news par focus karain, ta k achay chance par dobara trading start ki ja sakay, unhain ye baat b mind ma rakhni chaiay k is negative activity ya event k baad positive time zarur ay ga aur apnay confidence ko boostup rakhain, market k is achanak decline sa trading ma confusion to hoti ha lakin expert traders wo hi hotay hain jo is tarah ki moments ma apnay accoung ko tgek tarah manage karain aur usay secure rakhain.

اب آن لائن

Working...
X