Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Doji star Pattern
Bearish doji star candlestick pattern prices main uss waqat banta hai, jab bhi buyers prices ko bohut upward side par push to karte hen, lekin mazeed uss me dilchaspi nahi lete hen. Jiss se aik long real body wali bullish k baad aik doji candle upside par gap main banti hai. Doji candle prices k mazeed bullish jane ko rok dete hen, jin se bearish trend reversal hone k chances ziada ho jate hen. Bearish doji star candlestick pattern two days candles ka aik bearish trend reversal pattern hai jiss ki pehli candle aik bullish real body wali hoti hai, jiss k baad upside par gap main aik doji candle banti hai, jiss ka open aur close same aik hi point ya price par hota hai.
Candles Formation
Bearish doji star candlestick pattern pattern main do candles hote hen, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka baad aik doji candle banti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish doji star candlestick pattern ki pehli candle aik real body wali strong bullish candle hoti hai, jo k prices k leye bullish trend ki alamat hoti hai.
2. Second Candle: Bearish doji star candlestick pattern ki dosri candle aik doji star candle hoti hai, jiss ka open aur close same aik hi price par hota hai. Ye candle pehli candle se above gap main banti hai, jiss ka high aur low prices bhi ziada lambi shadow nahi banati hai. Yani ye aik standard doji candle hoti hai.
Explaination
Bearish doji star candlestick pattern main buyers prices ko ziada teezi main bullish trend main le kar jati hai lekin doji candle ki waja se ye bullish trend k khatme ka sabab banta hai. Ye pattern prices k top par ya bullish trend main banta hai, jahan se prices mumkina tawar par bearish trend reversal pattern main badal jati hai. Ye pattern two days candlestick par muheet hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik doji star candle banti hai, jiss ka open aur close ya to same price par hona chaheye aur ya aik dosre k bohut ziada qareeb hona chaheye. Doji candle bullish trend k khatme aur bearish trend reversal ka sabab banta hai.
Trading

Bearish doji star candlestick pattern lar trading karne se pehle ye zaror confirm karna chaheye, k prices ka top position ya bullish trend hona chaheye, q k ye aik bearish trend reversal pattern ka kaam karte hen. Iss par trading se pehle market main trend confirmation candle ka hona bhi zarori hai, jo k doji candle k baad aik real body wali bearish candle honi chaheye. Pattern par entry sell ki hogi agar bearish candle aik real body main ban kar pattern k se lower par close hoti hai. Stop loss pattern par trading k leye zarorri hai, jo k pattern k top par doji candle se aik ya pip confirmation candle k length k mutabiq set karen. Jab k bullish candle k baane par ye pattern invalid ho jata hai.