Type of Currency Pairs in Forex and a View of them
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Type of Currency Pairs in Forex and a View of them
    Forex ma currency pair ko mainly 3 types ma divide kiya giya hai. Jin ko ham es topic ma discuss karyn gy.

    Minor pairs

    Minor currency pairs ki pehchan bahut asan hay. Yani aisy currencies kay pairs jin main US Dollar involve na ho woh minor currency pairs kehlaty hain. Jab keh in kay cross rates ko calculate bhi asani say kia jata hay aur main pairs main say inko minus kia jata hay. Forex trader ko khosis karni chahe k wo kiu k en pair ki liquidity bhot high hoti hai or enki volatility bhot low hoti hai. Jo trader forex ma trading karty hain unko asy pairs select karny chahe jo stable hon. Major currencies ma developed countries ki currencies hoti hai. Eski ik nishani ye hai k jis pair ma us dollar envolve ho usko ham major par pair kahyn gy. En ko ham kahe sy b cash karwa sakty hain or en ko kisi b currency ma convert kiya ja sakta hai. Minor pairs main EURGBP, EURAUD, GBPJPY, EURCHF, EURNZD etc shamil hain

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-02-12T091552.862.jpeg
Views:	5
Size:	58.8 کلوبائٹ
ID:	12504148

    Major pairs.

    Major currency pairs say murad aisy pairs hain jo forex market main bahut ziada trading karyy hain. In main daily kafi ziada traders trading karna pasand karty hain. Inka spread aur volatility low hoti hay jab keh inki liquidity bhi high hony ki waja say inko trading kay liye bahut attractive samjha jata hay. Forex trading ma minor ki liquidity b high hoti hai but major pair sy kam hoti hai. Forex trading ma agr major pair ma trade ka acha signal na mel rha hu to minor pair par b trade ki ja sakti hai. Minor pair ma jpy, gbp or euro shamil hai. Ye usd dollar ki tarha high liquid to ni hai but still ye kafi had tak liquidity rakhti hain. Major currencies pairs main USD ki involvement ki waja say in main bahut ziada trading ki jati hay. Top major currency pairs EURUSD, GBPUSD, USDJPY, USDCHF, AIDUSS, NZDUSD, USDCAD etc shamil hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-02-12T091531.500.png
Views:	1
Size:	31.1 کلوبائٹ
ID:	12504147

    Exotic pairs.

    Exotic currency pairs ki pehchan bhi bahut easy hay. In main woh currencies shamil hoti hain jin main aik currency major hoti hay jab keh dusri currency kisi taraqi pazeer ya fast emerging marketing currency hoti hay. kafi countries ka large current account deficit hota hai es lae ye currencies stable ni hoti. En ma utar charhao bhot zayada hota or en ma liquidity b bhot kam hoti hai. Es lae broker en par trade karny k high brokage charges charge karta hai or en pairs ka spread b bhot high hota hai. So forex trader ko trading k lae hamesa major pair ya minor pair ka he intakhab karna chahe kiu k enka spread b kam hota hai or en par broker service chages b kam hoty hain. Jaisy keh USDMXN currency pair. Yahan per US Dollar aik major pair hay jab keh MXN pair aisa pair hay jis ki volatility bahut ziada hay jis waja say iski price fluctuation ziada hoti hay aur isi waja say iska trend bhi bahut jald change hota hay.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-02-12T091612.143.jpeg
Views:	1
Size:	43.8 کلوبائٹ
ID:	12504149

اب آن لائن

Working...
X