Forex Trading k currency pairs par aik tafseeli note
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading k currency pairs par aik tafseeli note
    Currency pairs


    Forex trading market main currencies ka lain dain hota hai, aur ye currency trading k leye pairs ki sorat main pesh hote hen. Forex trading k pairs aik agar aik currency sell hoti hai to ussi waqat dosri currency ko khareeda ja raha hota hai. Forex trading me in currency joro ko currency pairs ka naam deya gaya hai, jaise; EUR/USD aik currency jori hai, agar aik trader EURUSD ko sell kar raha hota hai to is ka matlab ye hai k wo EUR ko to bhej (sell) kar raha hota hai lekin sath hi USD ko khareed (buy) raha hota hai. Currency pairs main pehli currency ko base currency jab k dosri currency ko quote currency kaha jata hai. Kisi bhi currency pair me jo 1st currency hogi, usbko base pair kaha jayega. Currency jora ye dekhati hai k base currency ki value dosri currency k muqabele me kia hai.
    Misal k tawar par (for example) : agar USD/CHF ki value 1.1650 hai, to is currency jore me 1USD (base currency) CHF 1.1650 k brabar hai. American dollar ko hamesha base currency k tawar par hi dekhaya jata hai, sewaye EUR, GBP, NZD aur AUD k. EURUSD currency jore me agar hum EUR ko buy karte hen to USD ko sell kar rahe hote hen. Quote currency kisi bhi currency jore me dosri currency ko kaha jata hai. Jese USD/CAD currency jore me CAD currency quote currency hai. Quote currency ko pips bhi kaha jata hai q k profit loss ka tahmina is k hisab se hota hai. USD/CAD currency jore me agar hum USD ko sell karte hen to quote currency yani CAD ko buy kar rahe hote hen.

    Click image for larger version

Name:	download (65).png
Views:	1
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12504086

    Major Currencies pair


    Forex trading ki currency pairs ko normal main do hison main taqseem kia jata hai, jiss main aik pair jo American dollar jiss me shamil ho ko major currency pair kaha jat hai, jab k dosre ko minor pair kaha jata hai, jis me Americaan dollar shamil na ho. sab se ziada tejarati currencies ko major currencies, jab k baqi currencies ko minor currencies kaha jata hai.

    Minor / Cross Currency


    Forex trading me cross currencies pair wo currency jore hote hen jis me Americi dollar as a currency shamil (participate) na ho. Cross currency jore me USD k na hone se is ka trading tareeqakar tabdeel hota hai. Cross currency joron (pairs) par ziada transaction cost ati hai. Cross currencies pairs me EUR/JPY, EUR/GBP aur GBP/JPY sab se ziada trading hoti hai. Agar aik trader EURGBP ko sell kar raha hota hai, to is ka matlab ye hai k wo EURUSD ko sell, jab k GBPUSD ko buy kar raha hota hai, minor ya cross currency pair bhi major currency pairs ki tarah ziada trade hote hen.

    Exotic Currency


    Exotic currency joro me aise currency pair shamil hen, jis me aik currency to USD hoti hai aur dosri currency kisi chote mulk ki shamil hoti hai, jaise; Polish Zloty. Forex trading market me taqreeban 25 aise Exotic currency hen, jis me traders tejarat me dilchaspi lete hen. Exotic currency pairs ki liquidity bohut ziada hoti hai, jis me bohut ziada faida nahi hota. Agar EUR/USD ki baat karen to ye maximum 8 pips me trading hoti hai, aur wo bhi market k 24 hours, jab k agar USD/TRY ki baat karen to Asian sessions me is ki pips 100 tak chali jati hai.
    Last edited by ; 11-02-2022, 09:24 PM.

اب آن لائن

Working...
X