Some special indicators used in Forex

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Some special indicators used in Forex
    《 FOCUS POINT 》

    Indicators long term aur short term forecast btaaty hain. Ye market ky current status aap ky samnay laaty hain ya historical data aapko analysis kay liey provide karty hain. Apko kaafi saary aise indicators mill sakte hain jinko aap use kar sakte hain lekin channd indicators maain aap kay sath share karta hun. Jo aapko acchi aur profitable trading karne mein bahut zyada help out Karte Hain.

    《 MOVING AVERAGE INDICATORS 》

    Dear friends Moving average technical indicators hay jo ky price action main breaks ki nishaan-dehi karte hain, aur is kay sath market ke amomi simtt bhe btaata hain. Moving averages indicators chart par aik line ke soorat main hoty hain aur jo time ke mikdaar apne set ki hoti hai. Is say trader ko market ka short term ya long term trend ka andaaza hota hai. Lekin is baat ko zehann main rakhna chahey kay choty period wali Moving averages price change hony par bary time period wali moving averages sy taiz react karti hain.
    Click image for larger version

Name:	20220208_111005.png
Views:	1
Size:	33.6 کلوبائٹ
ID:	12503657
    《 STOCHASTIC 》

    Stochastic indicators ko khasosi tor parr market ke overbought yaa oversold conditions kay zone ko indicate karney kay liey istemaal kiya jata hai. Lekin Stochastic mumkina price reversal ko bhe point out karte hain. Stochastic kay aik sy zaida versions hain lekin slow Stochastic sab sy zaida aur kable aitebaar indicator samjha jaata hai. Stochastic indicator aapko chart kay bottom main milta hai jo kay 2 moving averages par mushtamil hota hai jo 0 say 100 kay darmiyaan hoti hain. Stochastic traders ke first choice hota hai kun kay esski ke darustagi kafi zaida hai aur inexperienced traders kay liey zaida mozun hai.
    Click image for larger version

Name:	20220208_111035.png
Views:	1
Size:	40.5 کلوبائٹ
ID:	12503658
    《 RELATIVE STRENGTH INDEX 》

    Relative Strength Index ya RSI bhi stochastics ke tarha oversold ya overbought condition ko dekhnny main help karta hai. Relative strength index un traders kay liey zayda bhetr sabit hota hai jo low buy aur high sell karte hain. RSI ke values 0 sy 100 kay darmiyaan hoti hai jis main traders 70 sy above overbought consider karte hain aur 30 sy nechy oversold consider hoti hai. Traders oversold ko buy aur overbought ko sell karty hain.
    Click image for larger version

Name:	20220208_111058.png
Views:	1
Size:	35.1 کلوبائٹ
ID:	12503659
    《 OSCILLATOR 》

    Oscillators market kay us wakt ke taraf ishara karte hain jab market ik limit par pohnnch jaati hai aur wahan say trend ki direction main opposite correction nazar aa rahi hoti hai. For example agar market main up trend chal raha hai aur market kafi zaida up move karti hai. Aur aik peak pe ja kar rukti hai to wo overbought condition main hoti hai aur wahan sy market correction kay liey aany ky kafi chancees ban jaaty hain. Ise kay barakas market jab oversold condition main hoti hai to correction kay liey up jaany kay imkanaat hoty hain
    Click image for larger version

Name:	20220208_111150.png
Views:	1
Size:	47.8 کلوبائٹ
ID:	12503660

اب آن لائن

Working...
X