Assalamu Alaikum Dosto!
White (Bullish) Candle
Financial charts main istemal honne wale candles color k lehaz se do tarah k hote hen, jis main aik bullish candle aur dosra bearish candle hoti hai. Bullish candles ko white ya green color se zahir kia jata hai, jab k bearish candles ko black ya red color se show kia jata hai. Bullish candles main prices ki close position open position ki nisbat high hoti hai. Yanni jab bhi aik candle main close orices open price k muqabele main high position par hoti hai, ye candles bullish ya white candles hoti hai.
Candle k Rules
- Bullish ya white candles ki real body lazmi honi chaheye, yanni open aur close price same point par nahi hote hen.
- Bullish candles main low prices par open jab k high price par close position hoti hai, yanni close prices ka point open price ki nisbat high level par hoti hai.
- Candle k upper, lower ya dono sides par shadow ho sakta hai.
Explaination
Bullish ya white candles financial charts ka aik aham hisa hai, q k ya to candles bullish hoti hai aur ya bearish, q k candles main prices ya to up side par jati hai aur ya downward side par move karti hai. Bullish candles mukhtalif qisam ki ho sakti hai, jiss main long real body se lekar small real body wali candles hoti hai.
Bullish long real body jiss ka upper ya lower side par koi shadow ya wick na ho to ye candles Marubozu white Candlew hoti hai. Jab k agar candles k lower side par shadow ho to us waqat ye candles Close Marubozu white candles kehlati hai, jab k upper side par candles ka shadow honne wali candle ko Open Marubozu White candle kaha jata hai.
Small body wali candles jiss k upper aur lower sides par shadow hote hen, wo candles bullish Spinning top candles hoti hai, jab k small shadow aur small real body wali candles star candles hoti hai.
Trading
Bullish white candles hamesha bullish trend ki akasi karti hai, jab bhi trend bullish ho to uss waqat prices par buy ki entry kia karen, jab k candles k small body hone par trading se muhtat rahen. Ye candles mukhtalif qisam k candlestick patterns aur charts patterns abante hen, jiss se prices ki movement asar andaz hoti hai. Bullish long timeframes wali candles ziada strong candles hoti hai, jab k short timeframes k candles kam asarat muaratab karti hai.