How to determine the forex market trend....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to determine the forex market trend....
    Dear forex market main kaam karty wakt apko apni trading learning karni chaye aur achi tarha sy knowledge hasil kar k is market main kaam karna chaye. Jab hmary pass trading knowledge hoga aur hmary pass trading ka acha experience hoga to humain faida hoga.Forex market main asal main trend ko smajhna he traders ki kamyabi ka raaz hota hai sirf isi wajha say yeh jumla ban gay hai k market main agar aap trend ko follow kartay hwuay trading kartay hain to aap market say tab he acha earn bhi kar skatay hain aur tab he yahi kaha jata hai k trend is your friend.
    Dear, mairay knowledge k mutabik market main kaam karnay k liye aur trends ko identified karnay k liye agar ham chart pay technical indicators ka use achay tareekay say kartay hain to hamari yeh mushkil automatic solve ho skaty hai jis k sath ham tab he market say achi earning ko bhi possible bana skatay hain.

    WHAT IS MARKET TREND:

    Dear forex main market k trend ko dekhna hota hy aur isk mutabik apko trade krni hoti hy. Jab market movement kar rahe hoti hy to is main market waves bana rahe hoti hy un waves ko dekh k aur market main candlestick ko dekh k ap market ka trend dekhty hain. Trend ko dekhna aur trade k favour main trade karna zarori hota hy agr against the trend trade karin gy to loss hoga.

    HOW TO DETERMINE TREND IN FOREX:

    Agar aapne trend ko determine karna hai pehly apne jis currency pair ka trend find karna hai uss ka chart jo kam az kam 100 sy 200 candles par mushtamil ho, nikaalin aur uss sy price ke simt ka taaiyun karin. Aur aap dekhin gy kay market up trend main hai ya downtrend main. Agar trend up hai to wo ess cheez ko dekh kay confirm kiya jaa sakta hai kay aapko chart pe higher highs aur higher lows dekhny ko miltey hain. Jesa kay neechy dee gai tasveer main aap valid up trend dekh sakty hain. Jis main agla high pichly high sy higher hai aur agla low pichly low sy higer hai.


    Click image for larger version

Name:	images (61).jpeg
Views:	3
Size:	23.7 کلوبائٹ
ID:	12503463

    IDENTIFY TREND USING TRENDLINE:

    Trend ko identify katna aur bhe easy ho jaata hai agar hum trendlines ka istemaal karte hain. Trendlines sy ye asaani sy pata chal jaata hai kay market kahan sy bounce kary ge ya support aur resistance ko torr kar market ke direction ko change kare ge. Agar trend upward chal raha hai yo aap Multiple lows ko connect kar kay trend line khench sakty hain downtrend market main aap multiple highs ko connect kar kay trendline laga sakty hain. Neechy diey huy chart main clear uptrend dekh sakty hain aur aur higer lows ko connect kar ka trend line lagai gai hai.

    IMPORTANCE OF TREND:

    Har trader ye tasleem karta hai kay koi bhe aik aise strategy nahi hai jo hundred percent kamyaab ho. Yeh aik obvious baat hai aur yehi wajha hai kay traders ko har time aise cheezin dekhni chahey jin sy wo zaida trades main kamyaab ho. Aur enn cheezoon main sy aik cheez trend hai. Trend kay sath trade kesy karna hai ye seekhna intehaai zaroori hai. Agar aapne koi strategy bnaai hai aur us strategy main koi imperfections hain to trend us ko cover kar sakta hai. For example market downtrend main aur aap nay trend identify karney kay baad agar trade trend main laga de aur market aap kay against chali jaati hai. Lekin wo trade aap kay liey khtry ka baais ess liey nahi hai kun kay eventually market trend ke simt main aay ge aur aap trade sy ba-asaani nikal sakte hain.

اب آن لائن

Working...
X