Morning Star Candlestick Pattern
Introduction
Morning star candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k top par ya bearish trend k baad main paya jata hia. Ye candle dekhne main "Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern" aur "Morning Doji-Star candlestick Pattern" jaisa hai, lekin star candle ki difference k waja se ye un dono pattern se change ho jata hai. Pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jiss ka baad gap main lower side par aik small real body wali candle hoti hai, jis ko star candle kaha jata hai. Ye candle small shadow wali Spinning top candle candle hoti hai. Jiss ka baad last par aik bari real body wali white candle hoti hai, jiss ka upper ya high price star candle k shadow ko overlap karti hai.
Pattern k Peh han k Rules
- Morning star candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern honne ki waja se prices ka pehle se low prices ya bearish trend me hona chaheye.
- Pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai.
- Pattern ki 2nd candle aik small real body wali candle hoti hai, jo k pehli candle se below gap main banti hai.
- Pattern ki 3rd candle aik bari real body wali white candle hoti hai, jo k close 1st candle ki real body main hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Morning star candlestick pattern black, white aur star candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k low par ya bearish trend me banta hai. Pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jiss k baad aik star candle below gap me banti hai. Pattern ki star candle small rela body wali hoti hai, jiss ka color zarori nahi k black ya white ho, lekin iss k position 1st candle k lower par hona chaheye. Pattern ki 3rd candle aik bari white ya bullish candle hoyi hai, jiss ka low price star candle ko touch karti hai.
Pattern par Trading
Morning star candlestick pattern teen candle ka aik bullish trend reversal pattern, jo dekhne amin same "Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern" aur "Morning Doji-Star Candlestick Pattern" lagta hai, lekin 2nd candle ka Spinning top candle banne se un se mukhtalif ho jata hai, baqi ye pattern bhi un ki tarah bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai.
Pattern par trading k leye zarorri hai k prices low position ya bearish trend me hon, dosra pattern long timeframes me hona chaheye. Pattern k baad bullish candle ka confirmation honna zarori hai, jiss ka baad aik bullish candle ka hona zarori hai. Ye candle market me buy ki entry ka signal detta hai, jiss se traders market me iss position par entry karte hen.