Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Engulfing Pattern
Bullish Engulfing candlestick pattern market k bottom trend main uss waqqat bannta hai, jahan se prices ka Bullish trend reversal pattern main badla honna hotti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hotta hai jai, main pehlee candle aik normal bearish candle hotti hai, jo k prices ka pehle se chalte a rahe market k trend ki mazzbotti ko show kartta hai. Pattern main dosre din ki candle real body main aik long Bullish candle hotti hai, jo k pehlee candle se gap main below open ho kar below close hotti hai. Ye candle pehlee candle se size main bohut baree candle hotti hai, jo pehlee bearish candle ko apnne andar lapait letti hai, jiss ko "Engulfing" kaha jatta hai.
Candles Formation
Bullish Engulfing candlestick pattern main do candles hotti hai, jiss main pehlee candle trend k mutabiq bearish candle hotti hai, jiss ko trend reversal Bullish candle follow kartti hai. Bullish Engulfing Candlestick Pattern main candles ki formation darjazzel hoggi;
1. First Candle:Bullish Engulfing Candlestick Pattern main pehlee candle aik normal real body main bearish candle hotti hai, jiss ka open aur close aik point par nahi hotta hai. Ye candle color main black ya red bantti hai.
2. Second Candle:Bullish Engulfing Candlestick Pattern ki dosre din ki candle aik long real body main Bullish candle bantti hai, jo k open to pehlee candle se below gap main hai, lekin close below hotti hai. Ye candle pehlee candle ko apne andar engulf karbletti hai, aur color main white ya green hotti hai.
Explaination
Bullish Engulfing candlestick pattern main dosre din ki candle pehle din ki candle ko apnne andar lapait main letti hai, jiss ki wajja se iss candlestick pattern ko "Engulfing" pattern kaha jatta hai. Pattern prices k bottom trend ya low price area main bantta hai, jis main pehlee candle aik normal real body main bearish candle bantti hai, jab k dosre din ki candle aik long real body wali bullish candle hotti hai. Bullish candle bullish candle k bottom par open ho kar below close hotti hai, jiss se wo pehlee candle ko apnne lapait main letti hai. Jiss se ye pattern Bullish engulfing pattern kaha jatta hai.
Trading
Bullish Engulfing candlestick pattern prices k top trend ya high area main bantta hai, jiss se qeematen ziadda tar Bullish trend reversal main badal jatti hai. Pattern market main aik strong buying signal detta hai.
Bullish Engulfing candlestick pattern trading karne se pehle zarrori hai, k aik to prices top trend par hon aur dosra trend confirmation honna chaheye. Trend confirmation pattern ka indicator se bhi kia ja sakta hai aur price action se bhi ho sakta hai. Aggar pattern k baad teesree candle bhi Bullish bantti hai to ye trend position buy trade ka area hogga. Stop Loss k leye pattern ka sab se bottom position ya dosree candle ki opening point se aik do pips below position muntakhib karren.