Forex Trading k nuqsanat kon kon sey hen?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading k nuqsanat kon kon sey hen?
    Forex Trading Risk


    Forex trading market k fawayed bohut ziada hen, jiss ki madad se hum aik aam trader world class k financial market me kaam karne ka ahel hota hai, jiss ki bari haseyat me se 24/7 hours trading, high leverage, no physical appearance, low volume for trading aur dosre shamil hen. Lekin bohut sare aise nuqsanat bhi hen, jiss trader ko profit kam aur loss ziada hota hai, jin ki tafseel darjazel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (174).jpeg
Views:	1
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12503154

    Leverage Risk



    Forex trading me brokers traders ko bohut ziada leverages de rahe hote hen, jitna ziada leverage hoga utna hi ziada trades lagane ki facility hoti hai. Forez trading me chonkeh sab se ziada leverages deye jate hen aur kam se kam trades open karne ki bhi koi limits nahi hoti, is waja se traders k sarmaye ko bohut ziada loss ka hadsha hota hai. High leverages ki waja se baaz traders apna sarmaya minto me zaya kar dete hen.

    Volatility Risk



    Forex trading market me dosra sab se bara masla high volatility ka hota hai. Traders k leye market ki currencies me ziada utaar charo nuqsan ka sabab ban sakta hai. Kam sarmaye wale traders aksar volatility ka shikar hote hen aur apna sara sarmaya zaya kar dete hen.

    Broker Risk


    Wese to forex trading market me ladad brokers maojood hen lekin new trades k leye achay brokers ka intekhab karna bohut mushkil hai. Traders k leye brokers ka risk us k sarmaye k loss se le kar market me slippage tak barqarar rehta hai. Dosra forex trading me brokers k leye license ka hosol aik mushkil marhala hai, q k forex trading market k rules aur regulations brokers k leye mushkil hote hen jo sahuleyat us ne apne clients ko dene hote hen.

    Inferadi Trading


    Forex trading ka aik issue ye bhi hai k is karobar me sab kuch khud karna hota hai, khas kar chote traders ko. Forex trading ki nisbat stock market mukhtalif hoti hai, jahan har qadam pe rahnumaye ki jati hai, lekin yahan pe aisa nahi hai. Forex trading me ziada tar new trader is business ko is waja se chor jate hen k un ki knowledge, experience aur trading skills (trading discipline, control on over-trading, use of stop loss etc.) me kami hoti hai.

    Easy Access Risk


    Aan kal forex trading k karobar tak rasaye bohut asaan ho chuki hai. Android ya I-phone ki madad se hum dunya k kisi bhi khone se kisi bhi waqat ye karobar chala sakte hen. Forex trading k is asan rasaye ne bhi ye karobar hamare ley riski banaya hai, khas kar new traders ya jin logo me sabar nahi hota un k leye. Forex trading k apps asani se approachable hen jis ko aksar traders har waqat open karte hen aur ziada tar new traders har waqat trading karne ki koshash karte hen.

اب آن لائن

Working...
X