What is spread in forex???
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is spread in forex???
    Assalamu Alaikum
    Dear forex member ummid krti hain sub kharyt sy hn gy or mahnat say apna work krrhy hn gy hmy kamyabi Hasil krny k ly mahnt sy kam krna hota h or hmy chye apna knowledge ko increase kry jitna zeda knowledge ho ga itna hi hm kamyab ho skty hai hmy weekly bounce k ly hmy achi post share krni chaye jitni achi post ho gi itna hi hm acha bounce hasil kr skty hai or hm trde lga k acha profit hasil kr skty hai

    Spread
    Forex trading me aksar aap logon ne bid price aur ask pk darmeyan faraq note kia hoga, prices k darmeyan is faraq ko Spread kaha jata hai. Spreads ko financial market me pips me count kia jata hai. Agar aik currency jore USD/JPY ki bid qeemat 110.50 aur ask qeemat 110.75 hai to ye 50 aur 75 k darmeyan faraq (pips) ko spread kehte hen. Spreads dar-asal brokers ki commission hoti hai, jo wo apne clients se trading k sahulat k badle le rahe hote hen. Aam tawar par brokers apne clients ko pehle teen digits me radu-badal nahi karte. Bulke wo sirf last 2 digits ka hi hawala pesh karte hen k 50 aur 75, yani bid price 50 hai aur ask price 75. Aaj kal forex market me 5 digits ki sahulat bhi muhaya ki jati hai.

    Click image for larger version

Name:	forex-spread-trading-strategies-and-tips_body_Differencebetweenmajorcurrencyspreadsandemergingma.png
Views:	2
Size:	33.6 کلوبائٹ
ID:	12503059
    Types of spread
    1.fixed spread
    2.variable spread

    Fixed spread
    Fixed spread brokers ki taraf se traders ko faraham karda wo spread hota hai, jiss main bid aur ask price k darmeyan koi faraq ziada nahi hota hai, aur ziada tar ye bid aur ask k darmeyan spread aik mustehkam (fixed) value hoti hai. Fixed spread me brokers ziada tar apne clients se commission ka kuch percentage bhi osool karte hen. Fixed spread accounts k aksar rules aur regulations bhi ziada hote hen, jaise; account me maojood balance ziada hona chaheye, baaz items pe commission bhi rakha jata hai. Lekin in sab k bawajood fixed spread account ziada behtar hote hen, q k is me spread kam hota hai, aur hota bhi mustehkam, to na to traders ko slippage ka darr hota hai aur na hi kam munafa k chances. Zero spreads wale account bhi fixed spread wale account me shumar hote hen

    Click image for larger version

Name:	1180.png
Views:	3
Size:	3.7 کلوبائٹ
ID:	12503061
    Variable spread
    Variable spreads wale account forex trading main sab se ziada istemal hone wale account hote hen, jiss me bid aur ask price k darmeyan faraq har waqat aik jaisa nahi rehta, yani market ki teezi k sath ye faraq barh jata hai aur slow market me ye kam ho jata hai. Variable spread kam volume wale account pe hote hen, jis me brokers ko ziada munafa melta hai. Variable spread wale account me kuch major currency pairs pe spread to kam hota hai, lekin minor ya cross currency pairs ka spread ziada hota hai. Ziada tar forex brokers ye account apne clients ko faraham karte hen , jiss me clients k amount ka sarmaya kam hota hai.
    Click image for larger version

Name:	forex_variable_spreads_waifu2x_photo_noise1_scale_tta_1-1.png
Views:	1
Size:	140.6 کلوبائٹ
ID:	12503064
    منسلک شدہ فائلیں

اب آن لائن

Working...
X