Secret points for scalping trades.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Secret points for scalping trades.
    INTRODUCTION:

    Asslaam o Alaikum.

    Dear!
    forex market main scalping aik short time main orders ki closing aur opening ka aik aisa method hai jis main traders apni trade ko minuts aur seconds k hisaab say lagatay hain. Scalping traders k liye aik high attractive method hai jis main trading kartay huway traders kam say kam time main acha profit hasil kartay hain, laikin agar kuch traders is main without expereince k aur lalach k sath sab kuch jaldi hasil karnay ki koshish kartay hain to aisay traders k liye isi method main high risk k sath high level ka loss bhi ho skata hai. Agar aik trader forex market main kaam kartay huway acha knowledge ka malik nai hai to usk liye scalping loss aur pareshani k ilawa kuch bhi nai chorr sakta hai.
    Main aj ki post main kuch mazeed is topic pay discuus kar raha hoon k jo darj zail main hai.


    Avaoid trade during high impact news time:

    Dear!


    Market main trading kartay huway har aik traders is baat ko achi tarha say samjhta hai k jab market k chart main scalping trading kar rahay hotay hain to har aik trader short term k sath apnay stop loss aur take profit ka use kar raha hota hai, agar important news k time say avoid nai kartay hain to economic news ki fast movements ki wjaha say hamara stop loss hit ho sakta hai jiski correction k baad market again hamaray favour maijn run kar sakty hai to yeh aik bahut he ghalt trading sabit ho skaty hai jisk liye zaruri hai k hamain aisi situations ko samnay rakhtay huway scalping trade say faida hasil karna chaye aur news time market main kabhi bhi short term ki trade ko open nai karna chaye.


    Don't trade weekly open/close time:

    Dear!
    mairay experience main aik yeh bhi secret hai k jab market chart pay weekly open/close time hota hai tab agar ham scalping trades kartay hwuay aisi situtaion ko apnay mined main rkahtay hwuay trades kartay hain to ham scalping trade say loss say bhi bach saktay hain aur usk sath sath ham market say acha profit aur experience hasil kar saktay hain jisk liye hamko chart ko m1 say lay kar d1 tak analsys kartay rehna chaye is say hamain market main big time frame aur small time frame say trends ki direction ka bhi sahi andaza milta hai aur movement, correction ka bhi andaza milta hai. Agar in secret points ko follow kartay hwuay ham market main scalping kartay hain to kamyabi mil sakty hai.


    Click image for larger version

Name:	scalping1.png
Views:	1
Size:	61.6 کلوبائٹ
ID:	12500949

    Shukrya.

اب آن لائن

Working...
X