Bearish Thrusting Line Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Thrusting Line Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Thrusting Line Pattern


    Bearish thrusting line pattern two days candlestick par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k prices k downtrend ya bearish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne main same "Piercing Line Candlestick Pattern" jaisa hi hai, aur dekhne main bhi same lagta hai, lekin "Bearish Thrusting Line Pattern" main dosree white ya green yanni bullish candle pehli bearish candle k midpoint ko cross nahi karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main black ya bearish candle hoti hai, jab k dosree candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bullish hoti hai, dosree candle pehli candle ki nisbat small hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	download (20).png
Views:	5
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12500755

    Candles Formation


    Bearish thrusting line pattern same format main banta hai, jiss tarah se "Piercing Line Candlestick Pattern" hota hai, lekin faraq sirf dosree candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k midpoint se below close hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	download (19).png
Views:	1
Size:	1.7 کلوبائٹ
ID:	12500756

    1. First Candle Bearish thrusting line pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali black ya red yanni bearish candle hoti hai. Ye candle bearish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai.

    2. Second Candle: Bearish thrusting line pattern ki dosree candle white ya green yanni bullish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se small hoti hai. Ye candle pehli candle se below gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body main hoti hai. Bullish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% ko cross nahi karna chaheye. Isi tarah se ye pattern " Piercing Line Candlestick Pattern" se format main different ban jata hai.

    Explaination

    Bearish thrusting line pattern dekhne main same "Piercing Line Candlestick Pattern" jaisa hota hai, lekin dosree bullish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% se below hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k bottom ya Bearish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern jaise "Dark cloud cover pattern" ya "Piercing Line Pattern" k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosree candle size main pehle candle se kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se below gap main hota hai aur closing price pehli candle k midpoint se thora sa nechay hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (290).png
Views:	2
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12500757

    Trading

    Bearish thrusting line pattern main dosree bullish candle pehli Bearish candle k midpoint ya 50% hese ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoyi hai. Bullish candle "Piercing Line Candlestick Pattern" ki tarah pehli candle se below open hoti hai, lekin buying pressure ki kami ki waja se pehli candle k midpoint ko cross nahi kar pati hai.
    Market main ya to selling pressure ziada hota hai, aur ya buying pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bullish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri Bearish candle ho sakti hai. Ye pattern newly Bearish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad markey main sell ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k top par set hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (291).png
Views:	2
Size:	16.5 کلوبائٹ
ID:	12500754

اب آن لائن

Working...
X