Information About Candles
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Information About Candles
    Assalamu Alaikum Dosto!

    Candlestick


    Aik forex trader analyst k leye k market main trading shoro karne se pehle candles k bare main janna ya zarori malomat rakhna bohut aham hai. Forex trading me Candlestick chart aik aham technique hai, q k ye qeematen parhne k leye estemal hote hen. Forex trading main analyst apni marzee k mutabiq candlestick k peroid ya duration ko on, off, high, low kar sakta hai. Candlestick charts ko inferadi tawar par estemal nahi karrna chaheye, bullkeh is ko dosre indicators jaise; RSI, MACD, Eliot Wave, Stochastic waghera k sath ekhata karke estemal karna chaheye, jo analysis ko mazzeed darrust aur kaar ammad banna detee hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (138).jpeg
Views:	3
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12500518

    Candlestick ki Information

    Forex trading k analysis main estemal honi wali aik single candle main prices k hawalle se bohut ziadda aham malloomat hoti hen, jo k aam tawar par humen dosre charts jaise line ya bar charts main dasteyab nahi hote. Aik sigle candlestick jo information humen deti hen wo darrjazzel hai;

    High Price:

    Candle k upside par selected time period durran sab se highest point ko high price kaha jata hai. Ye candle ki body bhi ho saktee hai aur candle ki wick ya shadow bhi.

    Low Price:

    Candle k downside par selected time period durran sab se lower point ko low price kaha jata hai. Ye bhi candle ki body bhi ho saktee hai aur candle ki wick ya shadow bhi.

    Open Price:

    Open price se murrad selected timeframe main candle ka wo hisa hota hai, jahan se candle ka aghaaz hota hai.

    Close Price:

    Close price kisi bhi timeframe ka end point hota hai, jis k baad nayya timeframe shorro hota hai.

    Candle Body :

    Open aur close price k darrmmeyan area candlestick ki body ya real body kehlati hai. Ye real body up aur down dono sematoo main ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (139).jpeg
Views:	3
Size:	21.3 کلوبائٹ
ID:	12500519

    Green Body: Agar candle ki selected timeframe main closing price opening price se high ya ziadda hai to ye candle green ya white (candle ki by default color) color ki body banati hai. Green candles banne ka mattlab hai k stocks ki price uptrend main ja rahi hai, aur ye aik qessam ki musbat tabdeelee hoti hai.

    Red Body: Aggar candle ki selected timeframe main closing price opening price se low ya kam hai to ye candle red ya black (candle ki by default color) color ki body banati hai. Red candles green k barr akas price k downtrend ki nishandahi aur prices k manffee rawayye ko zahir karti hai.

    Wick or Shadow :

    Wick ya shodow aik bareek line hoti hai, jo k candles me opening aur closing price k up ya down side pe bannti hai. Candles k body ki tarah wick bohut impotant malomat rakhti hai, aur baazz daffa to ye as a indicator bhi kaam karrti hai. Candle k up side pe upper shadow ya wick jab k down side pe lower shadow ya wick banta hai. Kuch candles main to body bulkul hoti hi nahi hai, yanee un candles main open aur close aik hi price pe hote hen, un candles ko doji candles kaha jata hai.

    Candlestick aur Timeframes

    Candlesticks ka timeframe k sath barra khas link hota hai. Timeframes darrasal candles ki aik makhsos waqat hota hai, jis k dowran price us aik hi candles me up down harkat karti hai. Aik candlestick ka time one minute, five minutes, fifteen minutes, thirty minutes, one hour, four hour, one day, one week aur one month tak ho saktee hai. Jittna aik candle ka time frame ziada hoga utna hi wo ziadda informative hogi. Yanee one minute aur five minutes k candles k muqabbelle main four hourly ya one day k timeframes wali candles ziadda fayedar hotti hai.

اب آن لائن

Working...
X