Assalamu Alaikum Dosto!
Frying Pan Bottom Pattern
Frying Pan Bottom candlestick pattern teen, chaar se le kar das tak ya uss se ziada candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai. Pattern k aghaz main small real body wali choti candles (bullish + bearish) hoti hai, jo k down side par round shap banati hai, ye pattern "Dumpling Top Pattern" ka opposite hai jo k bearish trend reversal ka kaam karta hai aur prices k top sides main paya jata hai. Frying pan bottom pattern se pehle market bearish trend main hota hai, jab k pattern k banne k douran candles small real body main aur prices kam volitile hoti hai. Pattern k dowrran main bhi prices pehle halki downward movement karti hai, jab k pattern k end par prices wapis halki si upward a jati hai.
Candles Formation
Frying pan bottom pattern mukhtalif candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jo k bearish trend k baad small real body wali bullish aur bearish candles par mushtamil hota hai. Ye pattern last par aik bari real body wali long real body white ya green yanni bullish candle gap main banati hai, jiss se pattern bullish trend reversal main badal jata hai;
1. Bearish Candle: Frying pan bottom pattern main ka aghaz bearish candles se hota hai, q k ye pattern bearish trend k bad ya prices k bottom par banta hai. Pattern ki pehli candle small real body main hoti hai, aur ye black ya red color main hoti hai.
2. Second Candle.....Tenth Candle: Frying pan bottom pattern main chaar se ziada candles hoti hai, jiss main ye tadad das tak ho sakti hai. Ye candles pattern main mukhtalif color main ho sakti hai aur same aik hi color main bhi ban sakti hai, lekin aisa mumkin nahi hai. Pattern k in candles k leye zarrori nahi hai, k ye color main kisi khas tarteeb se ho.
3. Bullish Candles: Frying pan bottom pattern main last candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k pattern k small candles se above gap main banti hai aur high par ja k close hoti hai. Ye candle white ya green color main yanni bullish hoti hai. Ye candle strong bullish trend reversal pattern ki alamat hoti hai.
Explaination
Frying pan bottom candlestick pattern das ya uss se ziada candles par mushtamil hota hai, jo k prices k top ya bearish trend k baad banne ki waja se bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Ye pattern aghaz main halka sa bearish jata hai aur akher main wapis halaka se bullish a jata hai, jiss se pattern ka bottom round shap ka ban jata hai. Ye candles small real body main honne ki waja se market k qeematon main ziada volitilety peda nahi karti hai, jiss se market aik jagah par pause ho chuka hota hai. Frying pan bottom pattern ki small candles mukhtalif colors yanni bullish aur bearish dono shape main ho sakti hai. Pattern ki last candle ki ahmeyat ziada hai q k ye lazmi bullish honi chaheye aur pehle candles se above side par gap main banna chaheye. Pattern ki last candle bullish trend reversal ka kaam karti hai, jiss ki real body wick ki nisbat long aur strong hoti hai.
Trading
Frying pan bottom pattern market main kaye din se mandi ya dumpness ki waja se banta hai, jiss ki waja se qeematen ziada volitile nahi hoti hai. Ye pattern agar low price ya bottom trend main banta hai, to ye prices k bullish trend main reversal ka aik strong signal hota hai, jiss se market main buy ki entry ho sakti hai.
Market main entry k leye zarori hai, k last bullish candle aik strong real body main honni chaheye aur dosra us ka gap pehle small candles se clear honna chaheye. Bullish candle ki real body wick ki nisbat long aur strong honni chaheye. Pattern par entry se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, agar ye bhi bullish banti hai to. Pattern par Stop Loss sab se lowest position jo taqreeban round shap ka centre banta hai, se aik ya do pip down par set karen.