Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern


    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hotta hai. Bearish abandoned baby candlestick pattern main pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss ka baad aik doji (ziada tar doji star) candle hoti hai, jiss k baad aik long real body main bullish candle banti hai. Ye pattern dekhne main same bulkul "Evening star candlestick pattern" aur "Evening Doji-Star candlestick pattern" jaisa hi hai, lekin bearish aur bullish candle k darmeyan main banne wali candle aik doji candle hoti hai, jo k dono candles se gap main below banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (167).png
Views:	1
Size:	3.6 کلوبائٹ
ID:	12499713

    Candles Formation


    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern main shamil teeno candles aik dosre se mukhtalif color aur formate main banti hai, ye candle apas main gap banati hai, jiss se market bearish trend main bullish trend se badal jata hai. Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (92).jpeg
Views:	3
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12499714

    1. First Candle: Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern main shamil pehli candle bullish trend wali hoti hai, jiss ka colour trend k mutabiq white ya green hotta hai, ye candle normal real body ki candle hoti hai.

    2. Doji Candle: Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern ki dosree candle aik doji candle hoti hai, ziada tar ye candle aik doji star candle hoti hai, jo k pehli bullish candle se below gap main banti hai.
    Doji candle k open aur close prices ya to same honne chaheye aur ya bohut zyada qareeb hone chaheye. Doji candle wese bhi colorless candle hoti hai, lekin aggar open aur close price same nahi hai, to is ka koi bhi color ho wo pattern k mutabiq thek rahega.

    3. Third Candle: Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern ki teesri aur last candle aik real body long size ki bearish candle hoti hai, jo k dosree candle se above gap main banti hai. Ye candle size main taqreeban pehli bullish candle k barabar ya uss k 50% size se ziada ho sakti hai.

    Explaination

    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern trading k dowran strong bearish trend reversal ka signal deta hai, agar ye pattern high prices ya uprend main banta hai. Pattern teen mukhtalif qisam k candles par mushtamil hota hai, jo k bullish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main bulkul "Morning star candlestick pattern" ya "Morning Doji-Star candlestick pattern" jaisa hota hai, lekin darmeyan main doji candle ka pehle aur last candle se gap main banne ki waja se ye unn pattern se mukhtalif ho jata hai. Pattern ki pehli candle bullish hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main aik doji candle candle banti hai, jis ka open aur close bullish candle se above gap main hota hai. Last par aik bearish candle hoti hai, jo k bullish candle k parallel aur doji candle se below gap main banti hai. Ye candle prices k trend reversal main aham kiradar ada karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (101).jpeg
Views:	7
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12499715

    Trading

    Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern market main bearish trend main banne ki waja se strong bearish trend reversal ka signal deta hai, jo k trader k leye market main buy ki entry ki opportunity peda karti hai. Pattern k leye zarori hai k prices high price ya uptrend main ho.
    Pattern par market main entry karnne se pehle trend confirmation candle ya kisi reliable indicator ka istemal zarror karen. Aggar teesri bearish candle k baad aik aur bearish candle banti hai to ye area market main sell ki entry ka signal deta hai. Stop Loss pattern k sab se highest position ya doji candle k top price se aik do point upper par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (5) (145).png
Views:	14
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12499716

اب آن لائن

Working...
X