"Gap Up" or "Bullish Gap Up" Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "Gap Up" or "Bullish Gap Up" Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Gap Up Pattern


    Bullish gap up ya simple "Gap Up" candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern, jo k bullish trend ya bearish market aur sideways market k bullish side par breakout honne k baad banta hai. Pattern ki dono candles same colour main hoti hai, jiss main pehli candle strong real body main white, green ya bullish candle hotti hai, jab k baad main banne wali candle bhi same white, green ya aik bullish candle hotti hai, jo k pehli candle se gap main upward side par open hotti hai, aur higher high banate howe high price par close ho jatti hai. Aksar awqaat dono camdles k darmeyan main banne wala gap weekend ya market k closing k time par switching k waqat banta hai. Jin trader k morning opening timing late hotte hen, un k chart pattern main ye gaps ziada bante hen.

    Click image for larger version

Name:	gap-up-bullish.png
Views:	1
Size:	1.3 کلوبائٹ
ID:	12499322

    Candles Formation


    Bullish gap up candlestick pattern main shamil dono candles same bullish hotti hen, yanni candles ka colour green ya white hota hai, jo k same bullish pattern main banta hai, aur bullish trend continuation pattern ka kaam karta hai. Bullish gap up pattern main shamil dono candles ki tafseel darjazzel hai;

    1. First Candle: Bullish gap up pattern main pehli candle aik strong real body wali bullish candle hotti hai, jiss ka colour aam tawar par white ya green hota hai. Ye candle pechle trend yanni bullish trend k market main maojoodgi ki alamat hotti hai.

    2. Second Candle: Bullish gap up pattern ki dosri candle bhi same pehli ki tarah se bullish candle ya color main green ya white hotti hai. Ye candle pehli candle se gap main above open aur high pe ja k close hoti hai.

    Explaination

    Bullish gap up pattern do candles par mushtamil hota hai, aur pattern ki dono candles strong bullish candles hoti hai. Ye pattern bullish trend ya newly prices ka blish side par breakout k baad banta hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bullish hotti hai, jiss k baad banne wali bearish candle gap main above open ho kar high par close hoti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hotta hai, jiss main kisi bhi candle ki wick ya shadow nahi banta. Pattern main candles k darmeyan gap market main bullish pressure ki waja se hotta hai, jo aam tawar par kisi news ya events k release honne par banta hai.

    Trading

    Bullish gap up pattern aggar newly bullish trend main banta hai, to ye market main aik strong bullish continuation ka signal deta hai. Aksar awqat market k weekend ya daily open close k waqat candles k darmeyan ye gap banta hai, jo k kisi events ya news k release honne k baad hotta hai. Ye pattern aik strong bullish continuation ka signal detta hai.
    Pattern par trading k leye zarorri nahi hai k confirmation candle lazmi ho, q k matket already bullish trend main hotta hai. Lekin aggar market ziada bullish trade kar rahi ho to uss sorat main confirmation candle ka intezar zaror karen. Dosra market main dosree candle k complete honne ka lazmi intezar karen aur candles ka timeframe long duration ka muntakhib karen.
    Pattern k dosri candle k baad market main buy ki entry karen aur tak profit k leye support and resistance indicator, Pivot point ya fabonacci retracement levels main se kisi ka intekhab karen. Stop Loss pattern k sab se lowest position, jo umoman pehli candle ka low banta hai, par set karen, aur trading k leye completely safe position istemal karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (68).jpeg
Views:	2
Size:	4.6 کلوبائٹ
ID:	12499323

اب آن لائن

Working...
X