Trend Continuation Candlestick Patterns

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trend Continuation Candlestick Patterns
    Aslamualaikum! Dear forex friends mujy umeed hain ap sab thk hon gay, or acha profit bana rahy hon gay.market mai doji candlestick pattern se indication aor direction mai change ho raha ho to aus time ye pata chal jata hai to aus waja se market mai jab ye candlestick pattern banta hai to aus mai reversal ki indication hoti hai. Aisy candlestick pattern ko dekh k hum ais market mai trade laga sakty hain kun k ye patterns reverasal ka signal dy rahy hoty hai aor aisy patterns ko find karna bahot asan hota hai. Aisi candle ko asani k sath wick dekh k hum find kar sakty hain ais ki differnet types hai jin ko hum dekh k ais market mai trade kar sakty hain.agr ap market main zayda sy zayda profitable Trading karna chahty hain. to ap ko hamesha fundamental analysis Ky sath sath technical analysis ko perfect banana hota hai. Technical analysis ko complete krny Ky liye different important candlestick ko carefully study karna hota hai.

    CONTINUATION PATTERNS

    Dear member Japanese Candlesticks main continuation ya tasalsul k patterns maojooda trend k tasalsul ki peshangoy karte hen. Bullish trend main, aggar koi resistance line abhi breakout howi ho, ye support area main rebound shoro ho gayya ho to continuation patterns khareedarri ya buy ka signal detta hai. Dosree taraf bearish trend main, continuous patterns sell ka signal detta hai aggar support line abhi break howa ho, ya resistance level support area ban gayye ho. Japanese Candlesticks main tasalsul k patterns ko sirf important areas (chart pattern k support aur resistance lines, technical indicators lines waghera main) k aas paas hi aham samajhna janna chaheye.

    Dear Continuation patterns ki kamyyabi ki sharah reversal pattern ki nisbat bohut ziadda hai, aam tawar par continuation pattern 60 se 70% tak average accuracy dette hen. Continuation Patterns main bhi kuch k success k rate bohut ziadda hai. Continuation patterns pher bhi chart pattern ki nisbat ziada reliable nahi hai, isis waja se technical analysis ki tafseel bohut ziadda gehree ho jatti hai, q k simple Japanese continuation pattern par market main trader buy aur sell ki entry nahi kar saktta hai. Pher bhi continuation pattern ko bohut ziadda reliable aur accurate bannane k leye is ko technical analysis (chart patterns, resistance aur support lines, technical indicators, waghera) k sath melana chaheye.

    KUCH KAMYAB CONTINUATION PATTERNS:

    Dear member Forex trading k long term trading k leye chart pattern bohut ziada relaible aur accurate hotte hen, q k Charts pattern banne main bohut ziadda waqat lagtta hai. Lekin short term k trader market main months ya even weeks tak kisi chart pattern ka intezar nahi karte hen. Is waja se short term trader candlestick patterns par ziadda focus kartte hen. Forex trading market main traders ka technical analysis main kuuh successful continuation charts pattern darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (60).png
Views:	6
Size:	4.8 کلوبائٹ
ID:	12499044

    THREE BLACK CROWS PATTERN:

    Dear Member Three black crows pattern teen laggatar bearish ya black candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k prices k top trend ya high area se rebound ya support line breakouts main bantta hai. Teen laggatar bearish candles market main bear ki mazzboti zahir kartti hai, jiss ne market ka control hasil kia hotta hai. Pattern ki teeno candles ek long real body main bearish candles hotti hai, jiss main har aik candle ka opening price pechlee candle k closing price se nechay hotta hai. Candles ki opening price aksar thora sa ziadda ya same wo qeemat hotti hai, jiss par pechlee candle close howee hotti hai.

    THREE WHITE SOLDIERS PATTERN:

    Dear Member Three white soldier candlestick pattern prices k top trend ya bullish trend main bantti hai, jo k prices k bullish trend k tasalsul ya continuation ki tarraf isharra kartti hai. Three white soldier pattern main teen strong aur real body wali bullish candles hotti hai ja aik dosre k higher high par close hotti hai. Candles ki opening aur closing prices same nahi honni chaheye. Ye candles upper aur lower sides par shadow k sath bhi ban saktti hai, jab k bagher shadow k bhi ban saktti hai. Pattern k top trend ya bullish trend main aksar market par buyers k strong control ki waja se bantte hen.

    MAT HOLD PATTERN:


    Dear member Mate hold pattern bhi aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main panch ya panch se ziadda candles ho saktti hai. Mat hold pattern main pehlee candle trend k mutabiq bullish hotti hai, jiss k baad dosree, teesri aur chothi candles small real body main bullish aur bearish mix candles hotti hai. Ziadda tar ye candles bearish small real body main ho saktti hai. Bulke is main doji candles bhi shamil ho saktti hai. Pattern ki last candle aik long rela bodyvmain bullish candles hotti hai, jo k trend ko dobara bullish trend main continuation karwa detti hai.

    GAP UP AND GAP DOWN PATTERN:

    Dear member Gap up and gap down pattern ka shumar bhi trend continuation patterns main hott hai, jiss main gap up pattern bullish trend k resistance level k breakout honne k baad ya bearish trend se rebound honne k baad bantta hai, jab k gap down pattern bearish trend main support level k break out honne k baad ya bullish trend se rebound honne k baad ye pattern bearish trend continue kartta hai. Ye pattern same do color par mushtamil hotta hai, jiss main dosree candle pehlee candle se up ya down side par gap main bantti hai. Jo k market main same trend ka aik strong message hotta hai.

    CHART IN ANALYSIS:

    Dear member market main successful Hona Chahte Hain. To aapko different candlestick k related proper information honi chahie ta k ap successful trading kar sakyn, es ki explanation ap sy chart main share karn gi. Dear members Jab market ka trend aik khaas direction sy dosri direction mein change hota hy hum is hony wali changing ko Reversal kehty hen. Dosto Reversal ky ban'ny sy pehly market jis taraf move kar rahi hoti hy usi he same direction mein barrhti chali jati hy.agr ap market main kamyabi Hasil karna chahte hain to ismein ap ko bhot acha profit milta hai. market mein koi trend temporary toor par Reversal hota hy to ham isy Retracement ka naam dety hen. Matlab ye ky market ka trend completely toor par change nahin ho raha hota balky market thory time k liye Reversal hoti hy. Es ki tafseel main ap sy chart main share karun gi.Ji to yahan ham bat karain gay keh kis tarah is pattern say ham faidah utha sakty hain. Ager ham intraday traders hain to ham 5,15 minutes ya phir hourly time frame main isko find kar kay use kar sakty hain. Yani iskay bad is per ham sell kar sakty gain. Yeh pattern intraday, daily weekly aur monthly teenon types kay trading style main help out karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (83).jpeg
Views:	2
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12499043

اب آن لائن

Working...
X