Difference between Leading & Lagging Indicators

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Difference between Leading & Lagging Indicators
    Assalam alaikum dear members!
    umeed karta hun aap sb khairiat se hn gy or apki trading bahut achii jaa rahi ho ge.
    Dear members forex indicators trading main kafi helpful hoty hain agr hum inko achy se smjh kr yrade karen to ye kafi faida mand ho skty hain.
    esi lye hun aj indicators ko study karen gy.

    what is indicator?

    Dear members jesa k naam se wazeh ha k indicator ka mtlb ishara deny wala forex main indicators hame market ki movement k bary main btaty hain.
    Q k indicators market main different value ko use kr k market k trend or possible support & resistance k bary main information dety hain.
    es lye indicators ko technical analysis main istmal kia jata ha.
    laikin in indicators ki 2 types hain.

    Leading Indicator
    Lagging Indicator

    in dono types ko nechy tafseel se bayan kiya gaya ha.
    What is Leading Indicators?

    Leading indicators k naam se saaf zahir hai, k ye indicators qeematon k movements ka pehle se hi andaza laga dete hen. In indicators ko momentum oscillators bhi kaha jata hai, aur ye market ki guzarne wali haleya qeematen aur us movement ki raftar humen batati hai. Ye indicators market ki kami taazi ya asal jazbaat ki pemayesh karte hen. Ye market ki mazi ki muqarara istemal karte hen. Misal k tawar par agar hum RSI k 14-days ki baat karen to is me RSI indicator me sirf guzeshta 14 dino ki price action hogi, is k elawa baqi qeematon k tamam trends ko khatam kar deya jata hai.
    Leading indicators ki kuch aam misalon me Commodity Channel Index (CCI), Relative Strength Index (RSI), Stochastic Oscillator, aur Williams %R shamil hain.



    Dear members forex trading mai Leading indicator wo indicator hai. Jo market ma new trend or reversal time sy phly indicate krty hen. Ye indicator information dety hen k next level pr prices kis side pr move krny wali hen. Leading indicator ki help sy he hum overbought or oversold state ki depict krty hen. Jb market overbought state pr pohnch jati hai. To is k bounce back hony k chances barah jaty hain.

    Pros & Cons of Leading Indicators:

    Leading indicators ka pehle se zikar ho chuka hai, k ye market me pehle hi qeematon ki agli movement bata dete hen, khas kar sideways market me. Ye indicators sideways market me traders ko bohut zyada trading opportunities deti hen k wo pehle se hi market me entry ya exit karen.
    Advance ya early signal ka faida to hai k humen ziada trading k muqa melta hai, jis se ziada munafa mumkin hai, lekin dosri taraf is me risk bhi bohut zyada hai. Aksar awqat trending market me khamaya jane wala ziada tar munafa whipsaws, overtrading, aur brokerage commissions me zaya ho jata hai.

    What is Lagging Indicator?

    Dear forum members Lagging Indicator asay indicators hoty hain Jo k market ka signal tb dety hain. Jb market apna trend change kr chuki hoti hai. Ye indicator ye show krta hai k market ka trend start ho chuka hai. Or hum ny boat miss kr dia hai.
    Lagging Indicator market k long trend mai boht help full hoty hain. Q k agr hum bad ma b apni trade ki entry lety hain to is sy hamen kuch na kuch profit earn ho jata ha. In indicators ka ak disadvantage ye hota ha k ye indicators advance ma market ki prices k bary mai information nai dety.



    Lagging indicators market ki maojoda qeematon ko read karke agale movement ki prediction karte hen. Forex trading ki aik mashahoor kahawat hai keh "trend is your friend". Trend ko malom karne k leye hamesha lagging indicators ka istemal kia jata hai. Lagging indicators humen market me qeematen kisi aik side k trend (bullish ya bearish trend) pe move ho jane k baad batate hen, jis tarah jab bhi qeematen aik dafa trend me chal parti hai to moving average us ko sahi direction deti hen (Moving average ka istemal us waqat nahi karna chaheye, jab bhi qeematen high price ya lower price area me hon).
    Moving Averages (M.A), Moving Averages Convergence Divergence (MACD), Consumers Price Index (CPI) waghea Lagging indicators ki misalen hen.

    Pros & Cons of Lagging Indicators:

    Lagging indicators market prediction market k bulkul mutabiq hoti hai. Ye indicators bohut kam hi humen loss de jate hen. Ye Indicators chonkeh market ka trend shoro hone k baad hi humen signal dete hen is waja se is me nakami k chances bhi bohut kam hote hen.
    Lagging indicators hum short term trading k leyw istemal nahi kar sajte, q k trend shoro hone k baad humen bohut kam munafa melta hai. Aksar ziada tar indicators trend khatam hone pe bhi trend ko continue dekha rahe hote hen, jis se loss hone k chances hoten hen.

    THANK YOU GUYS ! :1f60a:

اب آن لائن

Working...
X