Tweezers Top Candlestick Pattern
Tweezers top candlestick pattern aik bearish reversal trend pattern hai, is pattern me do (two) candle ka istemal hota hai, jis me dono candles ka high aik hi hota hai, pehel aik white candle hoti hai, jis ko black candle follow karti hai. Candles ki shape ahmeyat nahi rakhti lekin high point dono ka aik hona chaheye. Tweezers top candlestick pattern k do candles k hight ka match hona, bullish trend k khatme ka ishara hota hai, bullish market ki qeematen pechle candle k oper (above) le jane me nakam hota hai.
Tweezers Top Candlestick Pattern k Rules
- Tweezers Top Candlestick Pattern k leye qeematon ka pehle se high price area ya Bullish trend me hona chaheye
- Pehli candle white honi chaheye, jo bullish trend ko madham (slow) kar deti hai
- Dosri candle ki high position pehle candle k high position k barabar hona chaheye
- Dosri candle doji, black ya white bhi ho sakti hai, jo uper side pe saye (shadow) ya saye k bagher bhi ho sakti hai
- Tweezers top candlestick pattern me zarori nahi k pehli candle white hi ho, ye doji white, black koi bhi ho sakti hai, lekin ye zarori hai k, Tweezers top pattern bullish trend k bad, aur do same hight wali candle pe banna chaheye, q k ye aik bearish trend reversal pattern hai
Tweezers Top Candlestick Pattern pe Trading
Tweezers top candlestick pattern aik mazbot bearish trend reversal ka signal de raha hota hai, is waja is pattern k banne k baad market me selling k trade se entry honni chaheye. Trend k bad 3rd candle confirmation k leye zarori hai, wo agar bearish banti hai to downtrend pakka ho jayega. Stop loss k leye same hight wali area se thora sa above area muntakhib karen, q k ye area pehle hi resistance k tawar pe kaam kar raha hai.