Pending Orders and its types
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pending Orders and its types
    Aslam o alikum..
    Friends Forex Trading me kabhi bhi hum har waqat online nahi ho sakte hen, is waja se hum forex trading me pending orders ka istemal karte hen. Forex Trading me pending orders ka lazmi istemal karen aur kabhi bhi directly trading open nahi karna chahiye, jab tak market ki sahi situation ka pata na ho raha ho to. Hamen chaheye k hum forex trading me pending ka sahi tareeqay se istemal karen. Pending order jo Forex Trading me istemal ho rahen wo 4 qisam ki hen, in me aik buy ki do qisme hen aur do sells ki pending orders hoti hai. Buy me buy limit aur buy stop ki trades hoti hai jab k sell me sell stop aur sell limit ki trades hoti hai. Is waja se hamen forex trading me jab bhi trade karen to sahi pending orders ka sahi tarah se istemal karte rehna chahiye.


    BUY LIMIT

    Dear friends Forex trading me buy limit wala option hum us waqt istemal karte hen, jab bhi forex trading market me hum chahte hen k market price downward semat me aik khas position pe pahunch jaye to us waqat buy limit ki trade auto pe open ho jaye. Buy limit trader's us waqat chonte hen jab forex trading market me hum kisi reversal trend ka intezar karte hen k market ki price aik bearish side pe jane k bad reversal ho kar upward (bullish) trend chalay ga. Is waja se hum forex trading market me buy limit ka option lagate hen. Hamen forex trading market me buy limit ko proper technical analysis ka istemal karte howe lagana chahiye. Buy limit k liye zarori hai k hamen market me support levels ka pata ho, k hum asani se buy limit ki position set kar saken.



    SELL LIMIT

    Dear friends Forex trading me sell limit ka option aur kaam buy limit k opposite semat pe hoti hai. Forex trading me sell limit ka option traders us waqt chunte hen, jab bhi trader's ko lagta hai k market me trend kuch waqt ya lamhay k leye upward jane k bad reversal ho jayegi aur market me baqi downward (bullish) trend hogi. Sell limit me hamen market ki resistance ka pata hona chahiye, k us k bad market ki movement lazmi reversal ho sakti hai is waja se hamen market me sell limit ka option istemal karte hen.


    SELL STOP

    Dear friends sell stop us waqt hum istemal karte hen jab market me hum kisi trend ki position dekh rahe hote hen k agar market ki price downside pe support position ko break karta hai to us waqt hamara sell ki lot lag jaye, is option ko jab bhi hum istemal karte hen to is ko sell stop kehte hen. Sell stop ki position future ki position hoti hai aur is me hum jo pending istemal karte hen wo future time k liye hota hai.
    THANKS

اب آن لائن

Working...
X