Forex Trading me MACD indicator ka istemal aur calculation ka tareeqay kar
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me MACD indicator ka istemal aur calculation ka tareeqay kar
    MACD Indicator



    Moving average convergence divergence (MACD) indicator ko Gerald Appel ne long term trend ki strength k pemayesh k leye takhleeq kia tha. MACD indicator ki calculation me 26-EMA (26-peroids) ko 12-EMA (12-peroids) se manfi karne se ki jati hai. MACD indicator mukhtalif time period me do (two) mukhtalif exponencial moving averages (EMA) k darmeyan faraq ko as a input istemal karta hai. MACD me exponencial moving averages k istemal ki waja se is ki output ziada payedar hoti hai, q k exponencial moving averages (EMA) ki calculation simple moving averages (SMA) se ziada behtar hoti hai.
    MACD indicator aik sust-raftar oscillator hai, is ko trend ki confirmation aur trend k strength k leye ziada maozo (best) hai. Trades k entry k leye dosre indicators shayed ziada best hon.

    Click image for larger version

Name:	images (26).jpeg
Views:	16
Size:	43.9 کلوبائٹ
ID:	12496211

    MACD Indicator Trend Calculation aur Crossover


    Khas tawar par, MACD indicator do moving averages k darmeyan shumar-shuda (calculated) faraq hai, aur aksar is ko base line k tawar par zero vlaue k sath histogram k tawar par dekhaya jata hai. Albata MACD indicator k value ko lines k tawar par ya us ka majmoa dekha ja sakta hai.
    MACD indicator sab se sust (slow) indicator hai. Kuch traders kisi bhi line crossover ko as a signal dekhte hen aur market me buy ya sell ki entry karte hen, lekin trend traders hamesha trend line crossover ko zero k ubor hone ka intezar karte hen.
    Wo traders jo signal ki aur confirmation ka intezar karte hen wo zero line k zarye histogram k crossover ko trading signal samajhte hen. Taham kuch traders moving averages k lines ko jab histogram k direction me dekhte hen, ye histogram k crossover ko zero pe, to wo market me entry karte hen.
    Jab bhi MACD indicator ki 12-EMA line 26-EMA line k uper gurazarti hai to ye musbat value ya bullish trend ka signal de rahi hoti hai. Lekin agar 12-EMA line 26-EMA line k nechay se cross karti hai to ye negative value ya bearish signal genrate karta hai.
    MACD indicator jitna ziada apne base line se ziada door ( above ya below) hoga, to utna hi dono EMAs k darmeyan faisla barta jayega.
    False signal ko rokhne k leye zarori hai k trend crossover pe direct buy ya sell ki entry na karen, MACD indicator ka istemal dosre indicator jese RSI indicator k sath kia jana chaheye, is se false signal me kami ati hai. Signal confirmation k leye price action ka intezar karen aur candles ka baghawar mutalea karen. Jitna hum market me late entry karengy utna hi ye indicator humen faida dega.

    Click image for larger version

Name:	images (5) (42).png
Views:	27
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12496210

اب آن لائن

Working...
X